غلاموں کے ليے
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 3 sher · Roman Urdu ke saath
Hikmat-E-Mashriq-O-Maghrib Ne Sikhaya Hai MujheAik Nukta Ke Ghulamon Ke Liye Hai Ikseer
Deen Ho, Falsafa Ho, Faqr Ho, Sultani HoHote Hain Pukhta Aqaid Ki Bina Par Tameer
Harf Uss Qoum Ka Be-Souz, Amal Zaar-o-ZuboonHo Gya Pukhta Aqaid Se Tehi Jis Ka Zameer!