ايک بحري قزاق اور سکندر
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 3 sher · Roman Urdu ke saath
Sila Tera Teri Zanjeer Ye Shamsheer Hai MeriKe Teri Rahzani Se Tang Hai Darya Ki Pehnayi!
Sikandar! Haif, Tu Iss Ko Jawan Mardi Samajhta HaiGawara Iss Tarah Karte Hain Hum Chashmon Ki Ruswayi?
Tera Paisha Hai Saffaki, Mera Paisha Hai SaffakiKe Hum Qazzaq Hain Dono, Tu Maidani, Main Daryai!