یہاں کی عورتوں کو علم کی پروا نہیں بے شکمگر یہ شوہروں سے اپنے بے پروا نہیں ہوتیںyahāñ kī auratoñ ko ilm kī parvā nahīñ be-shakmagar ye shauharoñ se apne be-parvā nahīñ hotīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
دل مایوس میں وہ شورشیں برپا نہیں ہوتیںامیدیں اس قدر ٹوٹیں کہ اب پیدا نہیں ہوتیںdil-e-māyūs meñ vo shorisheñ barpā nahīñ hotīñumīdeñ is qadar TūTīñ ki ab paidā nahīñ hotīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
مری بیتابیاں بھی جزو ہیں اک میری ہستی کییہ ظاہر ہے کہ موجیں خارج از دریا نہیں ہوتیںmirī betābiyāñ bhī juzv haiñ ik merī hastī kīye zāhir hai ki maujeñ ḳhārij az dariyā nahīñ hotīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
وہی پریاں ہیں اب بھی راجا اندر کے اکھاڑے میںمگر شہزادۂ گلفام پر شیدا نہیں ہوتیںvahī pariyāñ haiñ ab bhī raajā indar ke akhāḌe meñmagar shahzāda-e-gulfām par shaidā nahīñ hotīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
تعلق دل کا کیا باقی میں رکھوں بزم دنیا سےوہ دل کش صورتیں اب انجمن آرا نہیں ہوتیںta.alluq dil kā kyā baaqī maiñ rakkhūñ bazm-e-duniyā sevo dilkash sūrateñ ab anjuman-ārā nahīñ hotīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi