معرفت خالق کی عالم میں بہت دشوار ہےشہر تن میں جب کہ خود اپنا پتا ملتا نہیںma.arifat ḳhāliq kī aalam meñ bahut dushvār haishahr-e-tan meñ jab ki ḳhud apnā patā miltā nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
فلسفی کو بحث کے اندر خدا ملتا نہیںڈور کو سلجھا رہا ہے اور سرا ملتا نہیںfalsafī ko bahs ke andar ḳhudā miltā nahīñDor ko suljhā rahā hai aur sirā miltā nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
غافلوں کے لطف کو کافی ہے دنیاوی خوشیعاقلوں کو بے غم عقبی مزا ملتا نہیںġhāfiloñ ke lutf ko kaafī hai duniyāvī ḳhushīāqiloñ ko be-ġham-e-uqbā mazā miltā nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
کشتئ دل کی الہی بحر ہستی میں ہو خیرناخدا ملتے ہیں لیکن با خدا ملتا نہیںkashti-e-dil kī ilāhī bahr-e-hastī meñ ho ḳhairnāḳhudā milte haiñ lekin bā-ḳhudā miltā nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
غافلوں کو کیا سناؤں داستان عشق یارسننے والے ملتے ہیں درد آشنا ملتا نہیںġhāfiloñ ko kyā sunā.ūñ dāstān-e-ishq-e-yārsunñe vaale milte haiñ dard-āshnā miltā nahīñاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi