نزع کا وقت برا وقت ہے خالق کی پناہہے وہ ساعت کہ قیامت سے سوا ہوتی ہےnaza.a kā vaqt burā vaqt hai ḳhāliq kī panāhhai vo saa.at ki qayāmat se sivā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
آج آرائش گیسوئے دوتا ہوتی ہےپھر مری جان گرفتار بلا ہوتی ہےaaj ārā.ish-e-gesū-e-dotā hotī haiphir mirī jaan giraftār-e-balā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
شوق پابوسیٔ جاناں مجھے باقی ہے ہنوزگھاس جو اگتی ہے تربت پہ حنا ہوتی ہےshauq-e-pā-bosī-e-jānāñ mujhe baaqī hai hanūzghaas jo ugtī hai turbat pe hinā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
پھر کسی کام کا باقی نہیں رہتا انساںسچ تو یہ ہے کہ محبت بھی بلا ہوتی ہےphir kisī kaam kā baaqī nahīñ rahtā insāñsach to ye hai ki mohabbat bhī balā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
جو زمیں کوچۂ قاتل میں نکلتی ہے نئیوقف وہ بہر مزار شہدا ہوتی ہےjo zamīñ kūcha-e-qātil meñ nikaltī hai na.īvaqf vo bahr-e-mazār-e-shohadā hotī haiاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi