رشک کہتا ہے کہ اس کا غیر سے اخلاص حیفعقل کہتی ہے کہ وہ بے مہر کس کا آشناrashk kahtā hai ki us kā ġhair se iḳhlās haifaql kahtī hai ki vo be-mehr kis kā āshnāمرزا غالبMirza Ghalib
ذرہ ذرہ ساغر مے خانۂ نیرنگ ہےگردش مجنوں بہ چشمک ہائے لیلی آشناzarra zarra sāġhar-e-mai-ḳhāna-e-nai-rañg haigardish-e-majnūñ ba-chashmak-hā-e-lailā āshnāمرزا غالبMirza Ghalib
شوق ہے ساماں طراز نازش ارباب عجزذرہ صحرا دست گاہ و قطرہ دریا آشناshauq hai sāmāñ-tarāz-e-nāzish-e-arbāb-e-ajzzarra sahrā-dast-gāh o qatra dariyā-āshnāمرزا غالبMirza Ghalib
میں اور ایک آفت کا ٹکڑا وہ دل وحشی کہ ہےعافیت کا دشمن اور آوارگی کا آشناmaiñ aur ek aafat kā TukḌā vo dil-e-vahshī ki haiāfiyat kā dushman aur āvārgī kā āshnāمرزا غالبMirza Ghalib
شکوہ سنج رشک ہم دیگر نہ رہنا چاہیےمیرا زانو مونس اور آئینہ تیرا آشناshikva-sañj-e-rashk-e-ham-dīgar na rahnā chāhiyemerā zaanū monis aur ā.īna terā āshnāمرزا غالبMirza Ghalib