دیکھنا تقریر کی لذت کہ جو اس نے کہامیں نے یہ جانا کہ گویا یہ بھی میرے دل میں ہےdekhnā taqrīr kī lazzat ki jo us ne kahāmaiñ ne ye jaanā ki goyā ye bhī mere dil meñ haiمرزا غالبMirza Ghalib
سادگی پر اس کی مر جانے کی حسرت دل میں ہےبس نہیں چلتا کہ پھر خنجر کف قاتل میں ہےsādgī par us kī mar jaane kī hasrat dil meñ haibas nahīñ chaltā ki phir ḳhanjar kaf-e-qātil meñ haiمرزا غالبMirza Ghalib
گرچہ ہے کس کس برائی سے ولے باایں ہمہذکر میرا مجھ سے بہتر ہے کہ اس محفل میں ہےgarche hai kis kis burā.ī se vale bā.īñ-hamazikr merā mujh se behtar hai ki us mahfil meñ haiمرزا غالبMirza Ghalib
بس ہجوم ناامیدی خاک میں مل جائے گییہ جو اک لذت ہماری سعیٔ بے حاصل میں ہےbas hujūm-e-nā-umīdī ḳhaak meñ mil jā.egīye jo ik lazzat hamārī sa.ī-e-be-hāsil meñ haiمرزا غالبMirza Ghalib
رنج رہ کیوں کھینچیے واماندگی کو عشق ہےاٹھ نہیں سکتا ہمارا جو قدم منزل میں ہےrañj-e-rah kyuuñ khīñchiye vāmāndagī ko ishq haiuTh nahīñ saktā hamārā jo qadam manzil meñ haiمرزا غالبMirza Ghalib