دل ہی تو ہے سیاست درباں سے ڈر گیامیں اور جاؤں در سے ترے بن صدا کیےdil hī to hai siyāsat-e-darbāñ se Dar gayāmaiñ aur jā.ūñ dar se tire bin sadā kiyeمرزا غالبMirza Ghalib
اس بزم میں مجھے نہیں بنتی حیا کیےبیٹھا رہا اگرچہ اشارے ہوا کیےus bazm meñ mujhe nahīñ bantī hayā kiyebaiThā rahā agarche ishāre huā kiyeمرزا غالبMirza Ghalib
رکھتا پھروں ہوں خرقہ و سجادہ رہن مےمدت ہوئی ہے دعوت آب و ہوا کیےrakhtā phirūñ huuñ ḳhirqa o sajjāda rahn-e-maimuddat huī hai dāvat āb-o-havā kiyeمرزا غالبMirza Ghalib
بے صرفہ ہی گزرتی ہے ہو گرچہ عمر خضرحضرت بھی کل کہیں گے کہ ہم کیا کیا کیےbe-sarfa hī guzartī hai ho garche umr-e-ḳhizrhazrat bhī kal kaheñge ki ham kyā kiyā kiyeمرزا غالبMirza Ghalib
مقدور ہو تو خاک سے پوچھوں کہ اے لئیمتو نے وہ گنج ہائے گراں مایہ کیا کیےmaqdūr ho to ḳhaak se pūchhūñ ki ai la.iimtū ne vo ganj-hā-e-garāñ-māya kyā kiyeمرزا غالبMirza Ghalib