حیراں ہوں دل کو روؤں کہ پیٹوں جگر کو میںمقدور ہو تو ساتھ رکھوں نوحہ گر کو میںhairāñ huuñ dil ko ro.uuñ ki pīTūñ jigar ko maiñmaqdūr ho to saath rakhūñ nauhagar ko maiñمرزا غالبMirza Ghalib
چھوڑا نہ رشک نے کہ ترے گھر کا نام لوںہر اک سے پوچھتا ہوں کہ جاؤں کدھر کو میںchhoḌā na rashk ne ki tire ghar kā naam luuñhar ik se pūchhtā huuñ ki jā.ūñ kidhar ko maiñمرزا غالبMirza Ghalib
جانا پڑا رقیب کے در پر ہزار باراے کاش جانتا نہ ترے رہگزر کو میںjaanā paḌā raqīb ke dar par hazār baarai kaash jāntā na tire rah-guzar ko maiñمرزا غالبMirza Ghalib
ہے کیا جو کس کے باندھئے میری بلا ڈرےکیا جانتا نہیں ہوں تمہاری کمر کو میںhai kyā jo kas ke bāñdhiye merī balā Darekyā jāntā nahīñ huuñ tumhārī kamar ko maiñمرزا غالبMirza Ghalib
لو وہ بھی کہتے ہیں کہ یہ بے ننگ و نام ہےیہ جانتا اگر تو لٹاتا نہ گھر کو میںlo vo bhī kahte haiñ ki ye be-nañg-o-nām haiye jāntā agar to luTātā na ghar ko maiñمرزا غالبMirza Ghalib