دل سنگ ملامت کا ہر چند نشانا ہےدل پھر بھی مرا دل ہے دل ہی تو زمانا ہےdil sañg-e-malāmat kā har-chand nishānā haidil phir bhī mirā dil hai dil hī to zamānā haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
اک لفظ محبت کا ادنی یہ فسانا ہےسمٹے تو دل عاشق پھیلے تو زمانا ہےik lafz-e-mohabbat kā adnā ye fasānā haisimTe to dil-e-āshiq phaile to zamānā haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
یہ کس کا تصور ہے یہ کس کا فسانا ہےجو اشک ہے آنکھوں میں تسبیح کا دانا ہےye kis kā tasavvur hai ye kis kā fasānā haijo ashk hai āñkhoñ meñ tasbīh kā daanā haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
ہم عشق کے ماروں کا اتنا ہی فسانا ہےرونے کو نہیں کوئی ہنسنے کو زمانا ہےham ishq ke māroñ kā itnā hī fasānā hairone ko nahīñ koī hañsne ko zamānā haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
وہ اور وفا دشمن مانیں گے نہ مانا ہےسب دل کی شرارت ہے آنکھوں کا بہانا ہےvo aur vafā-dushman māneñge na maanā haisab dil kī sharārat hai āñkhoñ kā bahānā haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi