وہی شورش ہے لیکن جیسے موج تہ نشیں کوئیوہی دل ہے مگر آواز مدھم ہوتی جاتی ہےvahī shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nashīñ koīvahī dil hai magar āvāz maddham hotī jaatī haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
طبیعت ان دنوں بیگانۂ غم ہوتی جاتی ہےمرے حصے کی گویا ہر خوشی کم ہوتی جاتی ہےtabī.at in dinoñ begāna-e-ġham hotī jaatī haimire hisse kī goyā har ḳhushī kam hotī jaatī haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
سحر ہونے کو ہے بیدار شبنم ہوتی جاتی ہےخوشی منجملہ و اسباب ماتم ہوتی جاتی ہےsahar hone ko hai bedār shabnam hotī jaatī haiḳhushī minjumala-o-asbāb-e-mātam hotī jaatī haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
قیامت کیا یہ اے حسن دو عالم ہوتی جاتی ہےکہ محفل تو وہی ہے دل کشی کم ہوتی جاتی ہےqayāmat kyā ye ai husn-e-do-ālam hotī jaatī haiki mahfil to vahī hai dil-kashī kam hotī jaatī haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
وہی مے خانہ و صہبا وہی ساغر وہی شیشہمگر آواز نوشا نوش مدھم ہوتی جاتی ہےvahī mai-ḳhāna-o-sahbā vahī sāġhar vahī shīshamagar āvāz-e-noshā-nosh maddham hotī jaatī haiجگر مرادآبادیJigar Moradabadi