لے گیا چھین کے کون آج ترا صبر و قراربے قراری تجھے اے دل کبھی ایسی تو نہ تھیle gayā chhīn ke kaun aaj tirā sabr o qarārbe-qarārī tujhe ai dil kabhī aisī to na thīبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
بات کرنی مجھے مشکل کبھی ایسی تو نہ تھیجیسی اب ہے تری محفل کبھی ایسی تو نہ تھیbaat karnī mujhe mushkil kabhī aisī to na thījaisī ab hai tirī mahfil kabhī aisī to na thīبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اس کی آنکھوں نے خدا جانے کیا کیا جادوکہ طبیعت مری مائل کبھی ایسی تو نہ تھیus kī āñkhoñ ne ḳhudā jaane kiyā kyā jaadūki tabī.at mirī maa.il kabhī aisī to na thīبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
عکس رخسار نے کس کے ہے تجھے چمکایاتاب تجھ میں مہ کامل کبھی ایسی تو نہ تھیaks-e-ruḳhsār ne kis ke hai tujhe chamkāyātaab tujh meñ mah-e-kāmil kabhī aisī to na thīبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
اب کی جو راہ محبت میں اٹھائی تکلیفسخت ہوتی ہمیں منزل کبھی ایسی تو نہ تھیab kī jo rāh-e-mohabbat meñ uThā.ī taklīfsaḳht hotī hameñ manzil kabhī aisī to na thīبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar