اک دانش نورانی اک دانش برہانی
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
ik dānish-e-nūrānī ik dānish-e-burhānīhai dānish-e-burhānī hairat kī farāvānī
is paikar-e-ḳhākī meñ ik shai hai so vo terīmere liye mushkil hai is shai kī nigahbānī
ab kyā jo fuġhāñ merī pahuñchī hai sitāroñ taktū ne hī sikhā.ī thī mujh ko ye ġhazal-ḳhvānī
ho naqsh agar bātil takrār se kyā hāsilkyā tujh ko ḳhush aatī hai aadam kī ye arzānī
mujh ko to sikhā dī hai afrañg ne zindīqīis daur ke mullā haiñ kyuuñ nañg-e-musalmānī
taqdīr shikan quvvat baaqī hai abhī is meñnādāñ jise kahte haiñ taqdīr kā zindānī
tere bhī sanam-ḳhāne mere bhī sanam-ḳhānedonoñ ke sanam ḳhākī donoñ ke sanam faanī