مجھ کو تو سکھا دی ہے افرنگ نے زندیقیاس دور کے ملا ہیں کیوں ننگ مسلمانیmujh ko to sikhā dī hai afrañg ne zindīqīis daur ke mullā haiñ kyuuñ nañg-e-musalmānīعلامہ اقبالAllama Iqbal
اک دانش نورانی اک دانش برہانیہے دانش برہانی حیرت کی فراوانیik dānish-e-nūrānī ik dānish-e-burhānīhai dānish-e-burhānī hairat kī farāvānīعلامہ اقبالAllama Iqbal
اس پیکر خاکی میں اک شے ہے سو وہ تیریمیرے لیے مشکل ہے اس شے کی نگہبانیis paikar-e-ḳhākī meñ ik shai hai so vo terīmere liye mushkil hai is shai kī nigahbānīعلامہ اقبالAllama Iqbal
اب کیا جو فغاں میری پہنچی ہے ستاروں تکتو نے ہی سکھائی تھی مجھ کو یہ غزل خوانیab kyā jo fuġhāñ merī pahuñchī hai sitāroñ taktū ne hī sikhā.ī thī mujh ko ye ġhazal-ḳhvānīعلامہ اقبالAllama Iqbal
ہو نقش اگر باطل تکرار سے کیا حاصلکیا تجھ کو خوش آتی ہے آدم کی یہ ارزانیho naqsh agar bātil takrār se kyā hāsilkyā tujh ko ḳhush aatī hai aadam kī ye arzānīعلامہ اقبالAllama Iqbal