آزاد کي رگ سخت ہے مانند رگ سنگ
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath
Azad Ki Rag Sakht Hai Manind Rag-E-SangMehkoom Ki Rag Naram Hai Manind-E-Rag-E-Taak
Mehkoom Ka Dil Murda-O-Afsurda-O-No MeedAzad Ka Dil Zinda-O-Pursoz-O-Tarab Naak
Azad Ki Doulat-E-Dil Roshan, Nafs-E-GaramMehkoom Ka Sarmaya Faqt Didah’ay Namnaak
Mehkoom Hai Begana’ay Ikhlas-O-MarawwatHar Chand K Mantaq Ki Daleelon Mein Hai Chalaak
Mumkin Nahin Mehkoom Ho Azad Ka HamdoshWoh Banda’ay Aflak Hai, Ye Khawajah’ay Aflak