رمزِ زندگیRamz E Zindagi

اگر کج رو ہیں انجم آسماں تیرا ہے یا میرا

Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 5 sher · Roman Urdu ke saath

agar kaj-rau haiñ anjum āsmāñ terā hai yā merāmujhe fikr-e-jahāñ kyuuñ ho jahāñ terā hai yā merā
agar hañgāma-hā-e-shauq se hai lā-makāñ ḳhālīḳhatā kis kī hai yā rab lā-makāñ terā hai yā merā
use sub.h-e-azal inkār kī jur.at huī kyūñkarmujhe mālūm kyā vo rāz-dāñ terā hai yā merā
mohammad bhī tirā jibrīl bhī qur.ān bhī terāmagar ye harf-e-shīrīñ tarjumāñ terā hai yā merā
isī kaukab kī tābānī se hai terā jahāñ raushanzavāl-e-ādam-e-ḳhākī ziyāñ terā hai yā merā