تسليم و رضا
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Har Shakh Se Ye Nukta-e-Pecheeda Hai PaidaPoudon Ko Bhi Ehsas Hai Pehnaye Faza Ka
Zulmat Kada-e-Khak Pe Shakir Nahin RehtaHar Lehza Hai Dane Ko Junoon Nash-o-Nama Ka
Fitrat Ke Taqazon Pe Na Kar Rah-e-Amal BandMaqsood Hai Kuch Aur Hi Tasleem-o-Raza Ka
Jurrat Ho Namoo Ki Tu Faza Tang Nahin HaiAe Mard-e-Khuda, Mulk-e-Khuda Tang Nahin Hai!