آزادي نسواں
Nazm · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 4 sher · Roman Urdu ke saath
Iss Behas Ka Kuch Faisla Main Kar Nahin SaktaGo Khoob Samajhta Hun Ke Ye Zaher Hai, Woh Qand
Kya Faida, Kuch Keh Ke Banon Aur Bhi MaatobPehle Hi Khafa Mujh Se Hain Tehzeeb Ke Farzand
Iss Raaz Ko Aurat Ki Baseerat Hi Kare FaashMajboor Hain, Maazoor Hain, Mardan-e-Khirdmand
Kya Cheez Hai Araish-o-Qeemat Mein ZaidaAzadi-e-Niswan Ke Zumurd Ka Gluband !