اک دانش نوراني ، اک دانش برہاني
Ghazal · Allama Iqbal · علامہ اقبال · 7 sher · Roman Urdu ke saath
Ek Danish-e-Noorani, Ek Danish-e-BurhaniHai Danish-e-Burhani, Hairat Ki Farawani
Iss Paikar-e-Khaaki Mein Ek Shay Hai, So Woh TeriMere Liye Mushkil Hai Uss Shay Ki Nighabani
Ab Kya Jo Meri Afghan Pohenchi Hai Sitaron TakTu Ne Hi Sikhai Thi Mujh Ko Ye Ghazal Khawani
Ho Naqsh Agar Batil, Takrar Se Kya HasilKya Tujh Ko Khush Ati Hai Adam Ki Ye Arzani?
Mujh Ko To Sikha Di Hai Afrang Ne ZindeeqiIss Dour Ke Mullah Hain Kyun Nang-e-Musalmani !
Taqdeer Shikan Quwwat Baqi Hai Abhi Iss MeinNadan Jise Kehte Hain Taqdeer Ka Zindani
Tere Bhi Sanam Khane, Mere Bhi Sanam KhaneDono Ke Sanam Khaaki, Dono Ke Sanam Fani\