بلائیں لیتے ہیں ان کی ہم ان پر جان دیتے ہیںیہ سودا دید کے قابل ہے کیا لینا ہے کیا دیناbalā.eñ lete haiñ un kī ham un par jaan dete haiñye saudā diid ke qābil hai kyā lenā hai kyā denāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
حیا سے سر جھکا لینا ادا سے مسکرا دیناحسینوں کو بھی کتنا سہل ہے بجلی گرا دیناhayā se sar jhukā lenā adā se muskurā denāhasīnoñ ko bhī kitnā sahl hai bijlī girā denāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
یہ طرز احسان کرنے کا تمہیں کو زیب دیتا ہےمرض میں مبتلا کر کے مریضوں کو دوا دیناye tarz ehsān karne kā tumhīñ ko zeb detā haimaraz meñ mubtalā kar ke marīzoñ ko davā denāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi
خدا کی یاد میں محویت دل بادشاہی ہےمگر آساں نہیں ہے ساری دنیا کو بھلا دیناḳhudā kī yaad meñ mahviyat-e-dil bādshāhī haimagar āsāñ nahīñ hai saarī duniyā ko bhulā denāاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi