پیغام بر کی بات پر آپس میں رنج کیامیری زبان کی ہے نہ تمہاری زباں کی ہےpaiġhām-bar kī baat par aapas meñ ranj kyāmerī zabān kī hai na tumhārī zabāñ kī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi
کعبے کی ہے ہوس کبھی کوئے بتاں کی ہےمجھ کو خبر نہیں مری مٹی کہاں کی ہےkaabe kī hai havas kabhī kū-e-butāñ kī haimujh ko ḳhabar nahīñ mirī miTTī kahāñ kī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi
سن کے مرا فسانہ انہیں لطف آ گیاسنتا ہوں اب کہ روز طلب قصہ خواں کی ہےsun ke mirā fasāna unheñ lutf aa gayāsuntā huuñ ab ki roz talab qissa-ḳhvāñ kī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi
کچھ تازگی ہو لذت آزار کے لیےہر دم مجھے تلاش نئے آسماں کی ہےkuchh tāzgī ho lazzat-e-āzār ke liyehar dam mujhe talāsh na.e āsmāñ kī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi
جاں بر بھی ہو گئے ہیں بہت مجھ سے نیم جاںکیا غم ہے اے طبیب جو پوری وہاں کی ہےjāñ-bar bhī ho ga.e haiñ bahut mujh se nīm-jāñkyā ġham hai ai tabīb jo puurī vahāñ kī haiداغؔ دہلویDagh Dehlvi