آئے ہو کل اور آج ہی کہتے ہو کہ جاؤںمانا کہ ہمیشہ نہیں اچھا کوئی دن اورaa.e ho kal aur aaj hī kahte ho ki jā.ūñmaanā ki hamesha nahīñ achchhā koī din aurمرزا غالبMirza Ghalib
لازم تھا کہ دیکھو مرا رستا کوئی دن اورتنہا گئے کیوں اب رہو تنہا کوئی دن اورlāzim thā ki dekho mirā rastā koī din aurtanhā ga.e kyuuñ ab raho tanhā koī din aurمرزا غالبMirza Ghalib
مٹ جائے گا سر گر ترا پتھر نہ گھسے گاہوں در پہ ترے ناصیہ فرسا کوئی دن اورmiT jā.egā sar gar tirā patthar na ghisegāhuuñ dar pe tire nāsiya-farsā koī din aurمرزا غالبMirza Ghalib
جاتے ہوئے کہتے ہو قیامت کو ملیں گےکیا خوب قیامت کا ہے گویا کوئی دن اورjaate hue kahte ho qayāmat ko mileñgekyā ḳhuub qayāmat kā hai goyā koī din aurمرزا غالبMirza Ghalib
ہاں اے فلک پیر جواں تھا ابھی عارفکیا تیرا بگڑتا جو نہ مرتا کوئی دن اورhaañ ai falak-e-pīr javāñ thā abhī aarifkyā terā bigaḌtā jo na martā koī din aurمرزا غالبMirza Ghalib