رمزِ زندگیRamz E Zindagi

لازم تھا کہ دیکھو مرا رستا کوئی دن اور

Ghazal · Mirza Ghalib · مرزا غالب · 10 sher · Roman Urdu ke saath

lāzim thā ki dekho mirā rastā koī din aurtanhā ga.e kyuuñ ab raho tanhā koī din aur
miT jā.egā sar gar tirā patthar na ghisegāhuuñ dar pe tire nāsiya-farsā koī din aur
aa.e ho kal aur aaj hī kahte ho ki jā.ūñmaanā ki hamesha nahīñ achchhā koī din aur
jaate hue kahte ho qayāmat ko mileñgekyā ḳhuub qayāmat kā hai goyā koī din aur
haañ ai falak-e-pīr javāñ thā abhī aarifkyā terā bigaḌtā jo na martā koī din aur
tum māh-e-shab-e-chār-dahum the mire ghar kephir kyuuñ na rahā ghar kā vo naqshā koī din aur
tum kaun se the aise khare dād-o-sitad kekartā malak-ul-maut taqāzā koī din aur
mujh se tumheñ nafrat sahī nayyar se laḌā.ībachchoñ kā bhī dekhā na tamāshā koī din aur
guzrī na ba-har-hāl ye muddat ḳhush o nā-ḳhushkarnā thā javāñ-marg guzārā koī din aur
nādāñ ho jo kahte ho ki kyuuñ jiite haiñ 'ġhālib'qismat meñ hai marne kī tamannā koī din aur