zof se ai girya kuchh baaqī mire tan meñ nahīñrañg ho kar uḌ gayā jo ḳhuuñ ki dāman meñ nahīñ
mire ash.ār ai 'iqbāl' kyuuñ pyāre na hoñ mujh komire TuuTe hue dil ke ye dard-añgez naale haiñ
ham rah-ravān-e-rāh-e-fanā der rah chukevaqfa bisān-e-sub.h koī dam bahut hai yaañ
hijr meñ zahr khā ke mar jā.ūñmaut kā intizār kaun kare
sub.h tak hijr meñ kyā jāniye kyā hotā haishaam hī se mire qaabū meñ nahīñ dil merā
na kohkan hai na majnūñ ki the mire hamdardmaiñ apnā dard-e-mohabbat kahūñ to kis se kahūñ
jo zamīñ kūcha-e-qātil meñ nikaltī hai na.īvaqf vo bahr-e-mazār-e-shohadā hotī hai
ḳhush vo hotā hai mire nāloñ seaur andāz-e-fuġhāñ kyā hogā
rañj kyā kyā haiñ ek jaan ke saathzindagī maut hai hayāt nahīñ
ḳhud naved-e-zindagī laa.ī qazā mere liyesham-e-kushta huuñ fanā meñ hai baqā mere liye
jin ne bayāñ likhā hai mire rañg-e-zard kāus kuuñ ḳhitāb ġhaib suuñ zarrīñ-raqam huā
kanār-e-mauj meñ marnā to ham ko aatā hainishān-e-sāhil-e-ulfat milā milā na milā
qatra qatra ik hayūlā hai na.e nāsūr kāḳhuuñ bhī zauq-e-dard se fāriġh mire tan meñ nahīñ
be-huzūrī hai terī maut kā raazzinda ho tū to be-huzūr nahīñ
siine meñ tiir us ke TuuTe haiñ be-nihāyatsurāḳh paḌ ga.e haiñ saare mire jigar meñ
mujhe mānte sab aisā ki adū bhī sajde kartedar-e-yār ka.aba bantā jo mirā mazār hotā
kuchh khaTaktā to hai pahlū meñ mire rah rah karab ḳhudā jaane tirī yaad hai yā dil merā
dekh dil ko mire o kāfir-e-be-pīr na toḌghar hai allāh kā ye is kī to ta.amīr na toḌ
rauñdte phirte haiñ vo majma-e-aġhyār ke saathḳhuub tauqīr-e-mazār-e-shohadā hotī hai
dekh lo rañg-e-parīdañ ko miredil jalegā to dhuāñ kyā hogā
maut kī tarah jis se Darte thesaa.at aa pahuñchī us judā.ī kī
musāfiro shab-e-avval bahut hai tiira o taarcharāġh-e-qabr abhī se jalā nahīñ rakhte
jis dilrubā suuñ dil kuuñ mire ittihād haidīdār us kā merī añkhāñ kī murād hai
ho fishār-e-zof meñ kyā nā-tavānī kī numūdqad ke jhukne kī bhī gunjā.ish mire tan meñ nahīñ
mire liye to hai iqrār-e-bil-lisāñ bhī bahuthazār shukr ki mullā haiñ sāhib-e-tasdīq
mire salīqe se merī nibhī mohabbat meñtamām umr maiñ nākāmiyoñ se kaam liyā
vo din ga.e ki thī mire siine meñ kuchh ḳharāshab dil kahāñ hai dil kā nishāñ yaad rah gayā
samjhā ke pastiyāñ mire auj-e-kamāl kīapnī bulandiyāñ vo dikhā kar chale ga.e