dil se havā-e-kisht-e-vafā miT ga.ī ki vaañhāsil sivā.e hasrat-e-hāsil nahīñ rahā
tū hai kis nāhiye se ai dayār-e-ishq kyā jānūñtire bāshindagāñ ham kaash saare bevafā hote
mirī jafā-talabī ko duā.eñ detā haivo dasht-e-sāda vo terā jahān-e-be-buniyād
zikr-e-mehr-o-vafā to ham kartepar tumheñ sharmsār kaun kare
mujh ko tum se e'timād-e-vafātum ko mujh se par iltifāt nahīñ
is nazākat par ye shamshīr-e-jafāaap se kyūñkar sambhālī jā.egī
ye re.āyā-e-hind tabah huī kahūñ kyā jo in pe jafā huījise dekhā hākim-e-vaqt ne kahā ye bhī qābil-e-dār hai
ḳhatā-muāf zamāne se bad-gumāñ ho kartirī vafā pe bhī kyā kyā hameñ gumāñ guzre
mujh suuñ kyuuñ kar milegā hairāñ huuñshoḳh hai bevafā hai sarkash hai
muravvat se ho begāna vafā se duur ho kosoñye sach hai nāznīñ ho ḳhūbsūrat ho magar kyā ho
'asad' farefta-e-intiḳhāb-e-tarz-e-jafāvagarna dilbarī-e-vāda-e-vafā ma.alūm
bār-hā gor-e-dil jhañkā laayāab ke shart-e-vafā bajā laayā
Meri Jafa Talbi Ko Duaen Deta HaiWoh Dasht-e-Sada, Woh Tera Jahan-e-Bebunyad
aarzū hai vafā kare koījī na chāhe to kyā kare koī
sohbat-e-gāh-gāhi-e-rashkītū ne bhī ham se bevafā.ī kī
huuñ fareb-e-sitam-e-yār kā qaa.il 'akbar'marte marte na khulā ye ki jafā hotī hai
pur-ġhurūr o pur-takabbur pur-jafā o pur-sitampur-fareb o pur-daġhā pur-makr o pur-fan aap haiñ
rah-e-vafā meñ ik aisā maqām bhī aayāki ham ḳhud apnī taraf se bhī bad-gumāñ guzre
ishq meñ sabr-o-razā darkār haifikr-e-asbāb-e-vafā darkār hai
rah-e-vafā ko na chhoḌā vo andalīb huuñ maiñchhuTā qafas se to parvāz kī chaman kī taraf
kī mire qatl ke ba.ad us ne jafā se taubahaa.e us zūd-pashīmāñ kā pashemāñ honā
jo tujh bin na jiine ko kahte the hamso is ahd ko ab vafā kar chale
Dilon Ko Markaz-e-Mehar-o-Wafa KarHareem-e-Kibriya Se Ashna Kar
is jafā par tumheñ tamannā haiki mirī iltijā kare koī
tab-e-insāñ ko dī sirisht-e-vafāḳhaak ko kīmiyā kiyā tū ne
unhīñ kī be-vafā.ī kā ye hai āThoñ-pahar sadmavahī hote jo qaabū meñ to phir kaahe ko ġham hotā
be-muravvat bevafā nā-mehrbāñ nā-āshnāmere qātil mere hāsid mere dushman aap haiñ
duniyā ke sitam yaad na apnī hī vafā yaadab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad
baaqī rahegā jaur-o-sitam roz-e-hashr lagtujh zulf kī jafā meñ nipaT imtidād hai