dil se uThā lutf-e-jalva-hā-e-ma.ānīġhair-e-gul ā.īna-e-bahār nahīñ hai
be-hijābī se tirī TuuTā nigāhoñ kā tilismik ridā-e-nīl-gūñ ko āsmāñ samjhā thā maiñ
dil mat lagā ruḳh-e-araq-ālūd yaar seā.īne ko uThā ki zamīñ nam bahut hai yaañ
āñkhoñ kā thā qusūr na dil kā qusūr thāaayā jo mere sāmne merā ġhurūr thā
ma.ani-e-husn o ma.ani-e-ḳhūbīsūrat-e-yār suuñ huvaidā hai
us kī āñkhoñ ne ḳhudā jaane kiyā kyā jaadūki tabī.at mirī maa.il kabhī aisī to na thī
aañkh hai tark-e-zulf hai sayyāddekheñ dil kā shikār kaun kare
murġh-e-bismil kī tarah loT gayā dil merānigah-e-nāz kī tāsīr bhī kyā hotī hai
lā sakā nazzāra-e-ruḳhsār-e-raushan kī na taabjā ke ā.īne pe chehre kī ziyā ulTī phirī
zarra zarra hai maz.har-e-ḳhurshīdjaag ai aañkh din hai raat nahīñ
ibtidā se ham za.iif o nā-tavāñ paidā hueuḌ gayā jab rañg ruḳh se ustuḳhvāñ paidā hue
hamāre hisse kā ik jur.a bhī nahīñ baaqīnigāh-e-dost kī mai-ḳhāngī ko kyā kiije
shabān-e-hijrāñ darāz chuuñ zulf o roz-e-vaslat chuuñ umr-e-kotāhsakhī piyā ko jo maiñ na dekhūñ to kaise kāTūñ añdherī ratiyāñ
ho ga.e haiñ jamā ajzā-e-nigāh-e-āftābzarre us ke ghar kī dīvāroñ ke rauzan meñ nahīñ
dil-e-bīnā bhī kar ḳhudā se talabaañkh kā nuur dil kā nuur nahīñ
nāzuk badan hai kitnā vo shoḳh-chashm dilbarjaan us ke tan ke aage aatī nahīñ nazar meñ
tārīk misl-e-āh jo āñkhoñ kā nuur thākyā sub.h hī se shām-e-balā kā zuhūr thā
kamar-e-nāzuk o dahān-e-sanamfikr bārīk hai muammā hai
rū-ba-rū us zulf ke dām-e-balā kyā chiiz haius nigah ke sāmne tīr-e-qazā kyā chiiz hai
un se sab apnī apnī kahte haiñmerā matlab adā kare koī
āñkheñ mujhe talvoñ se vo malne nahīñ detearmān mire dil ke nikalne nahīñ dete
abas hai nāz-e-istiġhnā pe kal kī kyā ḳhabar kyā hoḳhudā ma.alūm ye sāmān kyā ho jaa.e sar kyā ho
parda-e-chashm the hijāb bahuthusn ko ḳhud-numā kiyā tū ne
ishāre kyā nigah-e-nāz-e-dil-rubā ke chalesitam ke tiir chale nīmche qazā ke chale
ye dil shahīd-e-fareb-nigāh ho na sakāvo laakh ham se ba-andāz-e-mahramāna milā
bas-ki haiñ ham ik bahār-e-nāz ke maare huejalva-e-gul ke sivā gard apne madfan meñ nahīñ
matā-e-dīn-o-dānish luT ga.ī allāh-vāloñ kīye kis kāfir-adā kā ġhamza-e-ḳhūñ-rez hai saaqī
be-sudh paḌā rahūñ huuñ us mast-e-nāz bin maiñaatā hai hosh mujh ko ab to pahr pahr meñ