tū ne qasam mai-kashī kī khaa.ī hai 'ġhālib'terī qasam kā kuchh e'tibār nahīñ hai
mai-ḳhāna-e-europe ke dastūr nirāle haiñlaate haiñ surūr avval dete haiñ sharāb āḳhir
aam hukm-e-sharāb kartā huuñmohtasib ko kabāb kartā huuñ
saaqī kī chashm-e-mast kā kyā kījiye bayānitnā surūr thā ki mujhe bhī surūr thā
aa ke mujh tak kashtī-e-mai sāqiyā ulTī phirīaaj kyā naddī bahī ulTī havā ulTī phirī
ḳhūn-e-dil piine se jo kuchh hai halāvat ham koye mazā aur kisī ko nahīñ mai piine meñ
kyā ġham-e-duniyā kā Dar mujh riñd koaur ik botal chaḌhā lī jā.egī
bazm-e-ma.anī meñ sarḳhushī hai usejis kuuñ hai nashsha-e-sharāb-e-suḳhan
ġham-e-ishq meñ mazā thā jo use samajh ke khāteye vo zahr hai ki āḳhir mai-e-ḳhush-gavār hotā
bazm saaqī ne dī ulaT saarīḳhuub bhar bhar ke ḳhum luñDhā.ī aaj
muzīl-e-aql hai duniyā kī daulat ai mun.imusī ke nashshe ko suufī sharāb samjhe haiñ
phir huī yād-e-mai-kashī taazamasti-e-abr-e-nau-bahār na pūchh
le ga.ī saaqī kī naḳhvat qulzum-āshāmī mirīmauj-e-mai kī aaj rag miinā kī gardan meñ nahīñ
kyā dabdaba-e-nādir kyā shaukat-e-taimūrīho jaate haiñ sab daftar ġharq-e-mai-e-nāb āḳhir
shāyad sharāb-ḳhāne meñ shab ko rahe the 'mīr'khele thā ek muġhbacha mohr-e-namāz se
us chashm-e-mai-farosh se koī na bach sakāsab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surūr thā
na pūchhūñgā maiñ ye bhī jaam meñ hai zahr yā amrittumhāre haath se andesha-e-naf-o-zarar kyā ho
itnā na apne jaame se bāhar nikal ke chalduniyā hai chal-chalāv kā rasta sambhal ke chal
shaiḳh kī dāvat meñ mai kā kaam kyāehtiyātan kuchh mañgā lī jā.egī
chaak karne jāma-e-sabr-o-qarārdilbar-e-rañgīñ qabā darkār hai
lutf-e-mai tujh se kyā kahūñ zāhidhaa.e kam-baḳht tū ne pī hī nahīñ
raah zāhid ko jab kahīñ na milīdar-e-mai-ḳhāna vā kiyā tū ne
ye jhurriyāñ nahīñ hāthoñ pe zo.af-e-pīrī nechunā hai jāma-e-aslī kī āstīnoñ ko
hamāre hisse kā ik jur.a bhī nahīñ baaqīnigāh-e-dost kī mai-ḳhāngī ko kyā kiije
shāyad ki mar gayā tire ruḳhsār dekh karpaimāna raat maah kā labrez-e-nūr thā
garche hai ifshā-e-rāz ahl-e-nazar kī fuġhāñho nahīñ saktā kabhī sheva-e-rindāna aam
rañg havā se yuuñ Tapke hai jaise sharāb chuvāte haiñaage ho mai-ḳhāne ke niklo ahd-e-bāda-gusārāñ hai
dekhā thā kal 'jigar' ko sar-e-rāh-e-mai-kadais darja pī gayā thā ki nashshe meñ chuur thā