āmad-e-ḳhat se huā hai sard jo bāzār-e-dostdūd-e-sham-e-kushta thā shāyad ḳhat-e-ruḳhsār-e-dost
dil mat lagā ruḳh-e-araq-ālūd yaar seā.īne ko uThā ki zamīñ nam bahut hai yaañ
anokhī vaz.a hai saare zamāne se nirāle haiñye āshiq kaun sī bastī ke yā-rab rahne vaale haiñ
abhī se tujh ko bahut nāgavār haiñ hamdamvo hādsāt jo ab tak ravāñ-davāñ guzre
nigah-e-yār ne kī ḳhāna-ḳharābī aisīna Thikānā hai jigar kā na Thikānā dil kā
nigah-e-yār ko ab kyuuñ hai taġhāful ai dilvo tire haal se ġhāfil kabhī aisī to na thī
chor hai dil meñ kuchh na kuchh yaaroniind phir raat bhar na aa.ī aaj
huuñ fareb-e-sitam-e-yār kā qaa.il 'akbar'marte marte na khulā ye ki jafā hotī hai
ye āh-e-be-asar kyā ho ye naḳhl-e-be-samar kyā hona ho jab dard hī yā-rab to dil kyā ho jigar kyā ho
chehra-e-yār o qāmat-e-zebāgul-e-rañgīn o sarv-e-ra.anā hai
hasrat-e-intizār-e-yār na pūchhhaa.e vo shiddat-e-intizār na pūchh
faqīr dost jo ho ham ko sarfarāz karekuchh aur farsh ba-juz boriyā nahīñ rakhte
ai dil-e-nā-āqibat-andesh zabt-e-shauq karkaun lā saktā hai tāb-e-jalva-e-dīdār-e-dost
na nigah ne payām ne vaadanaam ko ham bhī yaar rakhte haiñ
phalā-phūlā rahe yā-rab chaman merī umīdoñ kājigar kā ḳhuun de de kar ye buuTe maiñ ne paale haiñ
ai husn-e-yār sharm ye kyā inqalāb haitujh se ziyāda dard tirā kāmyāb hai
ajab apnā haal hotā jo visāl-e-yār hotākabhī jaan sadqe hotī kabhī dil nisār hotā
jo dost ho to kahūñ tujh se dostī kī baattujhe to mujh se adāvat kahūñ to kis se kahūñ
dil se ḳhayāl-e-dost bhulāyā na jā.egāsiine meñ daaġh hai ki miTāyā na jā.egā
bahut rahā hai kabhī lutf-e-yār ham par bhīguzar chukī hai ye fasl-e-bahār ham par bhī
is vāste adam kī manzil ko DhūñDte haiñmuddat se dostoñ kī mahfil ko DhūñDte haiñ
ma.ani-e-husn o ma.ani-e-ḳhūbīsūrat-e-yār suuñ huvaidā hai
ġhair par lutf maiñ rahīn-e-sitammujh se ā.īna-e-bazm-e-yār na pūchh
naza.a meñ huuñ mirī mushkil karo āsāñ yāroñkholo ta۔avīz-e-shifā jald mire baazū se
ḳhāna-vīrāñ-sāzī-e-hairat tamāshā kījiyesūrat-e-naqsh-e-qadam huuñ rafta-e-raftār-e-dost
us kī shamshīr tez hai hamdammar raheñge jo zindagānī hai
nahīñ begānagī achchhī rafīq-e-rāh-e-manzil seThahar jā ai sharar ham bhī to āḳhir miTne vaale haiñ
tanhā.ī-e-firāq ke qurbān jā.iyemaiñ huuñ ḳhayāl-e-yār hai chashm-e-pur-āb hai