āshiqī sabr-talab aur tamannā betābdil kā kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak
phalā-phūlā rahe yā-rab chaman merī umīdoñ kājigar kā ḳhuun de de kar ye buuTe maiñ ne paale haiñ
ārzūeñ hazār rakhte haiñto bhī ham dil ko maar rakhte haiñ
va.ada karte nahīñ ye kahte haiñtujh ko ummīd-vār kaun kare
hogā bas ek nigah meñ jo tamāmvo ba-hasrat nigarāñ kyā hogā
ruuh to ek taraf hotī hai ruḳhsat tan seaarzū ek taraf dil se judā hotī hai
bharī hai dil meñ jo hasrat kahūñ to kis se kahūñsune hai kaun musībat kahūñ to kis se kahūñ
na puurī huī haiñ umīdeñ na hoñyūñhī umr saarī guzar jā.egī
lagte hī Thes TuuT gayā sāz-e-ārzūmilte hī aañkh shīsha-e-dil chuur chuur thā
juuñ 'valī' raat din hai mahv-e-ḳhayāljis kuuñ tujh vasl kī tamannā hai
pukāre kahtī thī hasrat se na.ash āshiq kīsanam kidhar ko hameñ ḳhaak meñ milā ke chale
hasrat-e-intizār-e-yār na pūchhhaa.e vo shiddat-e-intizār na pūchh
hasrat ne lā rakhā tirī bazm-e-ḳhayāl meñgul-dasta-e-nigāh suvaidā kaheñ jise
umīd-e-hūr ne sab kuchh sikhā rakkhā hai vaa.iz koye hazrat dekhne meñ sīdhe-sādhe bhole bhāle haiñ
ab jo ik hasrat-e-javānī haiumr-e-rafta kī ye nishānī hai
aarzū hai vafā kare koījī na chāhe to kyā kare koī
kahā maiñ ne ki 'nazm'-e-mubtalā martā hai hasrat meñkahā us ne agar mar jaa.e to merā zarar kyā ho
hairān huuñ kis tarah karūñ arz-e-tamannādushman ko to pahlū se vo Talne nahīñ dete
aate aate is taraf un kī savārī rah ga.īdil kī dil meñ ārzū-e-jāñ-nisārī rah ga.ī
dil rahā pā-e-band-e-ulfat-e-dāmthī abas aarzū rihā.ī kī
aisā kahāñ bahār meñ rañgīniyoñ kā joshshāmil kisī kā ḳhūn-e-tamannā zarūr thā
sanam tere nayan kī aarzū meñkabhū sālim kabhī bīmār haiñ ham
koī aniis koī āshnā nahīñ rakhtekisī kī aas baġhair az ḳhudā nahīñ rakhte
phūñkā hai kis ne gosh-e-mohabbat meñ ai ḳhudāafsūn-e-intizār tamannā kaheñ jise
DhūñD rahā hai farañg aish-e-jahāñ kā davāmvā-e-tamannā-e-ḳhām vā-e-tamannā-e-ḳhām
dil se ruḳhsat huī koī ḳhvāhishgirya kuchh be-sabab nahīñ aatā
is jafā par tumheñ tamannā haiki mirī iltijā kare koī
hasrat ko ġhubār-e-dil meñ DhūñDozinda madfūn ho ga.ī hai