mehrbānī-hā-e-dushman kī shikāyat kījiyetā bayāñ kiije sipās-e-lazzat-e-āzār-e-dost
shikāyat hai mujhe yā rab ḳhudāvañdān-e-maktab sesabaq shāhīñ bachchoñ ko de rahe haiñ ḳhāk-bāzī kā
suḳhan kī na taklīf ham se karolahū Tapke hai ab shikāyat ke baad
us gile ko gila nahīñ kahtegar maze kā gilā kare koī
shukr-e-karam ke saath ye shikva bhī ho qubūlapnā sā kyuuñ na mujh ko banā kar chale ga.e
na zabt se shikva lab tak aayā na sabr ne aah khīñchne dīrahā dahan meñ vo qufl ban kar girāyā chhātī pe sañg ho kar
shikva ayyārī kā yāroñ se bajā hai ai 'zafar'is zamāne meñ yahī hai rasm-e-yārī rah ga.ī
shikva karne kī ḳhū na thī apnīpar tabī.at hī kuchh bhar aa.ī aaj
gale lagā.eñ kareñ pyaar tum ko eid ke dinidhar to aao mire gul-ezār eid ke din
kis se mahrūmī-e-qismat kī shikāyat kiijeham ne chāhā thā ki mar jaa.eñ so vo bhī na huā
huzūr-e-haq meñ isrāfīl ne merī shikāyat kīye banda vaqt se pahle qayāmat kar na de barpā
rahī thī dam kī kashākash gale meñ kuchh baaqīso us kī teġh ne jhagḌā hī infisāl kiyā
mahshar meñ jā-e-shikva kiyā shukr yaar kājo bhūlnā thā mujh ko vahī yaad rah gayā
maiñ shikva ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaadshāyad ki mire bhūlne vaale ne kiyā yaad
vafūr-e-zabt se betābi-e-dil baḌh nahīñ saktīgale tak aa ke rah jaate haiñ naale hichkiyāñ ho kar
bulbul ko bāġhbāñ se na sayyād se gilaqismat meñ qaid likkhī thī fasl-e-bahār meñ
ḳhat aane lage shikva-āmez un kemilāp un se goyā huā chāhtā hai
vaade bhī yaad dilāte haiñ gile bhī haiñ bahutvo dikhā.ī bhī to deñ un se mulāqāt to ho
jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ koik tamāshā huā gila na huā
na diyā nishān-e-manzil mujhe ai hakīm tū nemujhe kyā gila ho tujh se tū na rah-nashīñ na raahī
kariye to gila kis se jaisī thī hameñ ḳhvāhishab vaise hī ye apne armān nikalte haiñ
'dāġh' kyuuñ tum ko bevafā kahtāvo shikāyat kā aadmī hī nahīñ
shikva to ek chheḌ hai lekin haqīqatanterā sitam bhī terī ināyat se kam nahīñ
hirs se shikva karūñ kyā haath phailāne kā maiñkahtī hai vo apne hāthoñ ḳhalq meñ rusvā haiñ aap
gila hotā hai āshnā.ī meñāshnā.ī nahīñ to phir kyā hai
jo kuchh hai so hai us ke taġhāful kī shikāyatqāsid se hai takrār na jhagḌā hai sabā se
maiñ to engine kī gale-bāzī kā qaa.il ho gayārah ga.e naġhme hudī-ḳhvānoñ ke aisī taan lī
ye zid ki aaj na aave aur aa.e bin na raheqazā se shikva hameñ kis qadar hai kyā kahiye