Huzoor-e-Haq Mein Israfeel Ne Meri Shikayat KiYe Banda Waqt Se Pehle Qayamat Kar Na De Barpa
thī laag us kī teġh ko ham se sau ishq nedonoñ ko ma.arke meñ gale se milā diyā
kyā ham us bad-gumāñ se baat kareñjo satā.ish ko bhī gila jaane
aao mil jaao muskurā ke galeho chukā jo itaab honā thā
sun ke burā na māniye sach ko na jhuuT jāniyezikr hai kuchh gila nahīñ baat hai neshtar nahīñ
karo hazār sitam le ke zikr kyā yak yaarshikāyat apnī tum is apne nīm-jāñ se suno
nuur ke ham ne gale dekhe haiñ ai 'hālī' magarrañg kuchh terī alāpoñ meñ nayā paate haiñ ham
ḳhastagī kā tum se kyā shikva ki yehathkanDe haiñ charḳh-e-nīlī-fām ke
Uss Ki Khudi Hai Abhi Sham-o-Sehar Mein AseerGardish-e-Doran Ka Hai Jis Ki Zuban Par Gila
shikva sun aañkh milā kar zālimkyuuñ pashemān huā jaatā hai
merī zabāñ pe shikva-e-dard-āfrīñ raheshāyad mire havās Thikāne nahīñ rahe
mujhe rāz-e-ishq ke zabt meñ jo maza milā hai na pūchhiyemai-e-añgbīñ kā ye ghūñT thā ki gale se mere utar gayā
kis ko sunā.ūñ hasrat-e-iz.hār kā giladil fard-e-jama-o-ḳharch zabāñ-hā-e-lāl hai
Ajab Nahin Ke Musalman Ko Phir Atta Kar DainShikoh-e-Sanjar-o-Faqr-e-Junaid (R.A.)-o-Bastami (R.A.)
gile shikve kahāñ tak hoñge aadhī raat to guzrīpareshāñ tum bhī hote ho pareshāñ ham bhī hote haiñ
'jigar' kā haath hogā hashr meñ aur dāman-e-hazratshikāyat ho ki shikva jo bhī hogā barmalā hogā
tañgi-e-dil kā gila kyā ye vo kāfir-dil haiki agar tañg na hotā to pareshāñ hotā
Teri Khudai Se Hai Mere Junoon Ko GillaApne Liye La-Makan, Mere Liye Char Soo!
tirī nigah ke tasavvur meñ ham ne ai qātillagā lagā ke gale se chhurī ko pyaar kiyā
gila hai shauq ko dil meñ bhī tañgi-e-jā kāguhar meñ mahv huā iztirāb dariyā kā
Amarat Kya, Shikoh-e-Khusrawi Bhi Ho To Kya HasilNa Zor-e-Haidari Tujh Mein, Na Istaghna-e-Salmani