tum miloge na vahāñ bhī ham sehashr se pahle gila karte haiñ
karte ho shikva kis kā tum aur bevafā.īsar pīTte haiñ apnā ham aur nek-nāmī
Ek Muflas-e-Khud-Dar Ye Kehta Tha Khuda SeMain Kar Nahin Sakta Gila-e-Dard-e-Faqeeri
us ne ehsān jatā kar ye kahāaap kis muñh se gila karte haiñ
har chand umr guzrī āzurdagī meñ lekinhai sharh-e-shauq ko bhī juuñ shikva nā-tamāmī
Shikwa-E-Eid Ka Munkir Nahin Hun Mein, LekinQabool-E-Haq Hain Faqat Mard-E-Hur Ki Takbeerain
iid hai qatl mirā ahl-e-tamāshā ke liyesab gale milne lage jab ki vo jallād aayā
navāzish-hā-e-bejā dekhtā huuñshikāyat-hā-e-rañgīñ kā gila kyā
Gila Hai Mujh Ko Zamane Ki Kaur Zauqi SeSamjhta Hai Meri Mehnat Ko Mehnat-E-Farhad
dil le ke muft kahte haiñ kuchh kaam kā nahīñulTī shikāyateñ huiiñ ehsān to gayā
nafas mauj-e-muhīt-e-be-ḳhudī haitaġhāful-hā-e-sāqī kā gila kyā
Tha Ye Allah Ka Farman K Shikwa-E-ParwaizDo Qalander Ko K Hain Iss Mein Mulukana Sifaat
dil meñ rahne na duuñ tirā shikvadil meñ aayā zabān se niklā
tum se bejā hai mujhe apnī tabāhī kā gilaus meñ kuchh shā.iba-e-ḳhūbi-e-taqdīr bhī thā
Koi Pahar Ye Kehta Tha Ek Gulehri SeTujhe Ho Sharam To Pani Mein Ja Ke Doob Maray
bajā.e shikva bhī detā huuñ maiñ duā us komirī zabāñ se karūñ kyā yahī nikaltī hai
jab tavaqqo.a hī uTh ga.ī 'ġhālib'kyuuñ kisī kā gila kare koī
Kaha Ye Sun Ke Gulehri Ne, Munh Sambhal ZaraYe Kachi Baatain Hain Dil Se Inhain Nikal Zara