rulātī hai mujhe rātoñ ko ḳhāmoshī sitāroñ kīnirālā ishq hai merā nirāle mere naale haiñ
ḳhema-e-lailā siyāh o ḳhāna-e-majnūñ ḳharābjosh-e-vīrānī hai ishq-e-dāġh-e-bairūñ-dāda se
be-zabāñ jo kahte haiñ mujh ko so chup rah jā.eñgemārke meñ hashr ke gar baat kī ruḳhsat huī
tanhā.ī-e-firāq ke qurbān jā.iyemaiñ huuñ ḳhayāl-e-yār hai chashm-e-pur-āb hai
mere ghar us shoḳh kī do din se mehmānī huībekasī kī aaj kal kyā ḳhāna-vīrānī huī
chup par apnī bharam the kyā kyā kuchhbaat bigḌī banī banā.ī aaj
hai mirā vīrāna-e-ġham 'nazm' aisā haul-nākmauj-e-sail aa.ī to le kar boriyā ulTī phirī
shāyad vo ganj-e-ḳhūbī aave kisī taraf suuñis vāste sarāpā vīrāna ho rahā huuñ
navak-faganī se zālim kī jañgal meñ hai ik sannāTā sāmurġhān-e-ḳhush-alhāñ ho ga.e chup aahū ne uchhalnā chhoḌ diyā
roz māmūra-e-duniyā meñ ḳharābī hai 'zafar'aisī bastī ko to vīrāna banāyā hotā
nazar meñ phirtī hai vo tīrgī o tanhā.īlahad kī ḳhaak hai surma ma.āl-baīnoñ ko
achchhā hai dil ke saath rahe pāsbān-e-aqllekin kabhī kabhī ise tanhā bhī chhoḌ de
mere ġham-ḳhāne kī qismat jab raqam hone lagīlikh diyā min-jumla-e-asbāb-e-vīrānī mujhe
ishq aur gavārā ḳhud kar le be-shart shikast-e-fāsh apnīdil kī bhī kuchh un ke sāzish hai tanhā ye nazar kā kaam nahīñ
bekasī par 'dāġh' kī afsos aatā hai hameñkis jagah kis vaqt us kī ḳhāna-vīrānī huī
kar diyā chup vāqi.āt-e-dahr nethī kabhī ham meñ bhī goyā.ī bahut
rindān-e-mai-kada bhī haiñ ai ḳhizr muntazirbastī meñ aa.iye kabhī vīrāna chhoḌ kar
tanhā na 'valī' jag munīñ likhtā hai tire vasfdaftar likhe aalam ne tirī mad.h-o-sanā ke
aap ke sar kī qasam mere sivā koī nahīñbe-takalluf aa.iye kamre meñ tanhā.ī to hai
ga.e din ki tanhā thā maiñ anjuman meñyahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī haiñ
dil lagā kar lag gayā un ko bhī tanhā baiThnābaare apnī bekasī kī ham ne paa.ī daad yaañ
jaan dī ki hashr tak maiñ huuñ mirī tanhā.iyāñhaañ mubārak fursat-e-nazzāra-e-qātil mujhe
'dāġh' ḳhāmosh na lag jaa.e nazarsher dīvān huā jaatā hai
ham na kahte the ki 'hālī' chup rahorāst-goī meñ hai rusvā.ī bahut
de rahī hai us kī ḳhāmoshī sadā-e-dūr-bāshye nahīñ kahtā ki 'nazm'-e-mubtalā achchhī tarah
taḳht jis be-ḳhānamāñ kā dast-e-vīrānī huāsar upar us ke bagūlā tāj-e-sultānī huā