Naale Bulbul Ke Sunoon, Aur Hama Tan Gosh RahunHumnawa Main Bhi Koi Gul Hun Ke Khamosh Rahun
Saaz-e-Khamosh Hain, Faryad Se Maamoor Hain HumNala Ata Hai Agar Lab Pe To Maazoor Hain Hum
Istada Saru Mein Hai, Sabze Mein So Raha HaiBulbul Mein Naghma-Zan Hai, Khamosh Hai Kali Mein
Kyun Meri Chandni Mein Phirta Hai Tu PreshanKhamosh Soorat-e-Gul, Manind-e-Bu Preshan
Khamosh Ho Gya Hai Tar-e-Rabab–E-HastiHai Mere Aaeene Mein Tasveer-e-Khawab-e-Hasti
“Aaqabat Manzil-e-Ma Wadi-e-Khamoshan-e-AstHaliya Ghughula Dar Gunbad-e-Aflak Andaz”
Soorat-e-Aaeena Sub Kuch Dekh Aur Khamosh RehSourish-e-Amroz Mein Mehw-e-Surood-e-Dosh Reh
Dosh Mee Gutam Ba Shama-e-Manzil-e-Weeran-e-KhoweshGaisuay Tu Azpar-e-Parwana Dar Dashana Ae
Aaj Hain Khamosh Woh Dasht-e-Junoon Parwar JahanRaqs Mein Laila Rahi, Laila Ke Diwane Rahe
Ae Dara’ay Karwan-e-Khufta Pa! Khamosh RehHai Bohat Yaas Afreen Teri Sada Khamosh Reh
Maza To Ye Hai Ke Yun Zair-e-Asman Rahye“Hazar Guna Sukhan Dar Dahan-Wa-Lab Khamosh”
Ati Hai Mashriq Se Jab Hangama Dar Daman SeharManzil-e-Hasti Se Kar Jati Hai Khamoshi Safar
Hai Koi Hangama Teri Turbat-e-Khamosh MeinPal Rahi Hai Aik Qoum-e-Taza Iss Aghosh Mein
Khamosh Ho Gye Chamanistan Ke RaazdaarSarmaya-e-Gudaz Thi Jin Ki Nawaye Dard
Nagma-e-Bulbul Ho Ya Awaz-e-Khamosh-e-ZameerHai Issi Zanjeer-e-Alamgeer Mein Har She Aseer
“Khufta Hungame Hain Meri Hasti-e-Khamosh MeinParwarish Payi Hai Main Ne Subah Ki Aghosh Mein
Nahin Zabt-e-Nawa Mumkin To Urh Ja Iss Gulistan SeKe Iss Mehfil Se Khoshtar Hai Kisi Sehra Ki Tanhai
Shafaq-e-Subah Ko Darya Ka Kharaam AaeenaNaghma-e-Shaam Ko Khamoshi-e-Shaam Aaeena
Mout Ki Lekin Dil-e-Dana Ko Kuch Parwa NahinShab Ki Khamoshi Mein Juz Hangama-e-Farda Nahin
Taza Weerane Ki Soda’ay Mohabbat Ko TalashAur Abadi Mein Tu Zanjeeri Kisht-O-Nakheel
Ye Surood-e-Qumri-o-Bulbul Faraib-e-Gosh HaiBatin-e-Hangama Abad-e-Chaman Khamosh Hai
Ah, Dunya Dil Samajhti Hai Jise, Woh Dil NahinPehlu-e-Insan Mein Ek Hangama-e-Khamosh Hai
Jis Ke Dam Se Dilli-o-Lahore Hum Pehlu HuweAh, Ae Iqbal! Woh Bulbul Bhi Ab Khamosh Hai
Khamoshi-e-Aflak To Hai Qabar Mein LekinBe-Qaidi-o-Pehnai-e-Aflak Nahin Hai
Hujoom-e-Madrasa Bhi Saaz Gaar Hai Iss KoKe Iss Ke Waste Lazim Nahin Hai Weerana
Ye But-Khuda Unhi Gharat Garon Ki Hai TamerDamishq Hath Se Jin Ke Huwa Hai Weerana
Mashriq Nahin Go Lazzat-e-Nazara Se MehroomLekin Sifat-e-Alam-e-Lahoot Hai Khamosh
Iss Dasht-e-Jigar Taab Ki Khamoshi Faza MeinFitrat Ne Faqt Rait Ke Teele Kiye Tameer
Khamosh Hai Alam-e-MaaniKehta Nahin Harf-e-‘Lan Tarani’!
Afsurda Agar Iss Ki Nawa Se Ho GulistanBehtar Hai Ke Khamosh Rahe Murgh-e-Sehar Khaiz
Jis Ke Partou Se Munawwar Rahi Teri Shab-e-DoshPhir Bhi Ho Sakta Hai Roshan Woh Charagh-e-Khamosh