yuuñ muravvat se tumhāre sāmne chup ho raheñkal ke jalsoñ kī magar ham ne ḳhabar paa.ī to hai
huuñ ātish-e-namrūd ke sho.aloñ meñ bhī ḳhāmoshmaiñ banda-e-momin huuñ nahīñ dāna-e-aspand
dil mirā soz-e-nihāñ se be-muhābā jal gayāātish-e-ḳhāmosh kī mānind goyā jal gayā
āñkhoñ meñ namī sī hai chup chup se vo baiThe haiñnāzuk sī nigāhoñ meñ nāzuk sā fasānā hai
log kahte haiñ chup lagī hai tujhehāl-e-dil bhī sunā ke dekh liyā
lag ga.ī chup 'hālī'-e-ranjūr kohaal is kā kis se pūchhā chāhiye
ai junūñ dekh isī sahrā meñ akelā huuñ maiñrahte jis dasht meñ haiñ ḳhauf-o-ḳhatar donoñ saath
bekasī ke haal meñ yak aan maiñ tanhā nahīñġham tirā siine meñ mere hamdam-e-jānī huā
chup rah na sakā hazrat-e-yazdāñ meñ bhī 'iqbāl'kartā koī is banda-e-gustāḳh kā muñh band
vahshat-e-ātish-e-dil se shab-e-tanhā.ī meñsūrat-e-dūd rahā saaya gurezāñ mujh se
naaz kartī hai ḳhāna-vīrānīaise ḳhāna-ḳharāb haiñ ham log
gayā kārvāñ chhoḌ kar mujh ko tanhāzarā mere aane kā rastā na dekhā
jitne raste the tire ho ga.e vīrāñ ai ishqaa ke vīrānoñ meñ ab ghar na basānā hargiz
tanhā nahīñ huuñ gar dil-e-dīvāna saath haivo harzah-gard huuñ ki parī-ḳhāna saath hai
Farang Mein Koi Din Aur Bhi Thehar JaunMere Junoon Ko Sanbhale Agar Ye Werana
ye fitna aadmī kī ḳhāna-vīrānī ko kyā kam haihue tum dost jis ke dushman us kā āsmāñ kyuuñ ho
tū hamārā javāb hai tanhāaur terā javāb haiñ ham log
tirī yaad hai yā hai terā tasavvurkabhī 'dāġh' ko ham ne tanhā na dekhā
ranj aur ranj bhī tanhā.ī kāvaqt pahuñchā mirī rusvā.ī kā
Kabhi Tanhai-e-Koh-o-Daman IshqKabhi Souz-o-Suroor-o-Anjuman Ishq
hai kuchh aisī hī baat jo chup huuñvarna kyā baat kar nahīñ aatī
kahīñ chup rahī hai zabān-e-mohabbatna farmā.iyegā to farmā.iyegā
chup lagī lāl-e-jāñ-fazā ko tireis masīhā kā kuchh ilaaj nahīñ