vo shab-e-dard-o-soz-o-ġham kahte haiñ zindagī jiseus kī sahar hai tū ki maiñ us kī azaañ hai tū ki maiñ
kyā kahūñ tārīki-e-zindān-e-ġham andher haipamba nūr-e-sub.h se kam jis ke rauzan meñ nahīñ
ham rah-ravān-e-rāh-e-fanā der rah chukevaqfa bisān-e-sub.h koī dam bahut hai yaañ
kisī kī shāmat aa.egī kisī kī jaan jā.egīkisī kī taak meñ vo baam par ban-Than ke baiThe haiñ
tāj-e-zar ke liye kyuuñ sham.a kā sar kaaTe hairishta-e-ulfat-e-parvāna ko gul-gīr na toḌ
rāst-bāzoñ hī ko piisā āsmāñ ne raat dinvā-e-qismat jab phirī ye āsiyā ulTī phirī
sub.h tak hijr meñ kyā jāniye kyā hotā haishaam hī se mire qaabū meñ nahīñ dil merā
juuñ 'valī' raat din hai mahv-e-ḳhayāljis kuuñ tujh vasl kī tamannā hai
kis naaz se kahte haiñ vo jhuñjhlā ke shab-e-vasltum to hameñ karvaT bhī badalne nahīñ dete
zarra zarra hai maz.har-e-ḳhurshīdjaag ai aañkh din hai raat nahīñ
'anīs' dam kā bharosa nahīñ Thahar jaaocharāġh le ke kahāñ sāmne havā ke chale
چوں شمع سوزاں چوں ذرہ حیراں ز مہر آں مہ بگشتم آخرنہ نیند نیناں نہ انگ چیناں نہ آپ آوے نہ بھیجے پتیاں
chuuñ sham-e-sozāñ chuuñ zarra hairāñ z mehr-e-āñ-mah bagashtam āḳhirna niiñd naināñ na añg chaināñ na aap aave na bheje patiyāñ
kis kī numūd ke liye shaam o sahar haiñ garm-e-sairshāna-e-rozgār par bār-e-girāñ hai tū ki maiñ
raunaq-e-hastī hai ishq-e-ḳhāna vīrāñ saaz seanjuman be-shamā hai gar barq ḳhirman meñ nahīñ
shāyad ki kaam sub.h tak apnā khiñche na 'mīr'ahvāl aaj shaam se darham bahut hai yaañ
tum na shab ko aaoge ye hai yaqīñ aayā huātum na mānoge mirī ye baat hai maanī huī
shab-o-roz phuul meñ jo tule kaho ḳhār-e-ġham ko vo kyā sahemile tauq qaid meñ jab unheñ kahā gul ke badle ye haar hai
hijr kī shab mujh ko ulTī saañs lete dekh karek hī dam meñ vahāñ jā kar sabā ulTī phirī
tārīk misl-e-āh jo āñkhoñ kā nuur thākyā sub.h hī se shām-e-balā kā zuhūr thā
ḳhūbī suuñ tujh huzūr o shama dam-zanī meñ haius be-hayā kī charb-zabānī kuuñ dekh tuuñ
da.avā bahut baḌā hai riyāzī meñ aap kotūl-e-shab-e-firāq ko to naap dījiye
chor hai dil meñ kuchh na kuchh yaaroniind phir raat bhar na aa.ī aaj
ḳhud naved-e-zindagī laa.ī qazā mere liyesham-e-kushta huuñ fanā meñ hai baqā mere liye
use sub.h-e-azal inkār kī jur.at huī kyūñkarmujhe mālūm kyā vo rāz-dāñ terā hai yā merā
tā-qayāmat shab-e-furqat meñ guzar jā.egī umrsaat din ham pe bhī bhārī haiñ sahar hote tak
ā.inda shaam ko ham royā kuḌhā kareñgemutlaq asar na dekhā nālīdan-e-sahar meñ
gile shikve kahāñ tak hoñge aadhī raat to guzrīpareshāñ tum bhī hote ho pareshāñ ham bhī hote haiñ
jo ham pe shab-e-hijr meñ us māh-e-laqā keguzre haiñ 'zafar' rañj o alam kah nahīñ sakte