'haidar' shab-e-ġham meñ marg-e-nāgāhshādī kā shugūn ho ga.ī hai
aisā kahāñ bahār meñ rañgīniyoñ kā joshshāmil kisī kā ḳhūn-e-tamannā zarūr thā
gul ke charāġh gul ho yak baar jhaḌ paḌeñ sabmujh aah kī hikāyat boleñ agar sabā suuñ
urūs-e-dahr ko aayā thā pyaar ham par bhīye besvā thī kisī shab nisār ham par bhī
kyuuñ chheḌte ho zikr na milne kā raat kepūchheñge ham sabab to batāyā na jā.egā
naam raushan kar ke kyūñkar bujh na jaatā misl-e-sham.anā-muvāfiq thī zamāne kī havā mere liye
rulātī hai mujhe rātoñ ko ḳhāmoshī sitāroñ kīnirālā ishq hai merā nirāle mere naale haiñ
ġham-e-hastī kā 'asad' kis se ho juz marg ilaajsham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak
ab sub.h o shaam shāyad girye pe rañg aaverahtā hai kuchh jhamaktā ḳhūnāb chashm-e-tar meñ
vo āñkheñ sāmrī-fan haiñ vo lab īsā-nafas dekhomujhī par sehr hote haiñ mujhī par dam bhī hote haiñ
sham.a ne jal kar jalāyā bazm meñ parvāne kobin jale apne jalānā kyā kisī kā sahl hai
marne ke ba.ad phir nahīñ koī sharīk-e-hāljaatā hai sham-e-kushta ko parvāna chhoḌ kar
ḳhulūs jis meñ ho shāmil vo daur-e-ishq-o-havasna rā.egāñ kabhī guzrā na rā.egāñ guzre
dekhnā har sub.h tujh ruḳhsār kāhai mutāla matla-e-anvār kā
chāñdnī rāteñ bahār apnī dikhātī haiñ to kyābe tire mujh ko to lutf ai mah-laqā miltā nahīñ
haiñ daur-e-jām-e-avval-e-shab meñ ḳhudī se duurhotī hai aaj dekhiye ham ko sahar kahāñ
musāfiro shab-e-avval bahut hai tiira o taarcharāġh-e-qabr abhī se jalā nahīñ rakhte
aah ki khoyā gayā tujh se faqīrī kā raazvarna hai māl-e-faqīr saltanat-e-rūm-o-shām
har rañg meñ jalā 'asad'-e-fitna-intizārparvāna-e-tajallī-e-sham-e-zuhūr thā
ai shab-e-hijr raast kah tujh kobaat kuchh sub.h kī bhī aatī hai
nahīñ ghaTtī shab-e-furqat bhī aksar ham ne dekhā haijo baḌh jaate haiñ had se vo hī ghaT kar kam bhī hote haiñ
hai sham.a sar ke bal jo mohabbat meñ garm hoparvāna apne dil se ye kahtā hai jal ke chal
hoñToñ pe aaj tak haiñ shab-e-aish ke mazesaaqī kā lab liyā lab-e-paimāna chhoḌ kar
din kā kyā zikr tīra-baḳhtoñ meñek raat aa.ī ek raat ga.ī
sub.h terā dars paayā thā sanamshauq-e-dil mohtāj hai takrār kā
zīnat muqaddama hai musībat kā dahr meñsab sham.a ko jalāte haiñ sāñche meñ Dhaal ke
'hālī' nashāt-e-naġhma-o-mai DhūñDhte ho abaa.e ho vaqt-e-sub.h rahe raat bhar kahāñ
shabāb kho ke bhī ġhaflat vahī hai pīroñ kosahar kī niind ko bhī shab kā ḳhvāb samjhe haiñ
ejaaz hai kisī kā yā gardish-e-zamānaTuuTā hai asia meñ sehr-e-firañgiyāna
shāyad ki mar gayā tire ruḳhsār dekh karpaimāna raat maah kā labrez-e-nūr thā
shāyad sharāb-ḳhāne meñ shab ko rahe the 'mīr'khele thā ek muġhbacha mohr-e-namāz se