vo shab-e-dard-o-soz-o-ġham kahte haiñ zindagī jiseus kī sahar hai tū ki maiñ us kī azaañ hai tū ki maiñ
dete haiñ jannat hayāt-e-dahr ke badlenashsha ba-andāza-e-ḳhumār nahīñ hai
hijrāñ meñ us ke zindagī karnā bhalā na thākotāhī jo na hove ye umr-e-darāz se
āñkhoñ meñ bas ke dil meñ samā kar chale ga.eḳhvābīda zindagī thī jagā kar chale ga.e
tire va.ade par sitamgar abhī aur sabr karteagar apnī zindagī kā hameñ e'tibār hotā
kar diyā hai zindagī ne bazm-e-hastī meñ sharīkus kā kuchh maqsūd koī mudda.ā ho yā na ho
jannat meñ to nahīñ agar ye zaḳhm-e-teġh-e-ishqbadleñge tujh ko zindagī-e-jāvedāñ se ham
ta.abīr us kī shāyad ek vāpsīñ nafas hojo ḳhvāb dekhte the ham saarī zindagī meñ
ḳhud naved-e-zindagī laa.ī qazā mere liyesham-e-kushta huuñ fanā meñ hai baqā mere liye
jo be-sabāt ho us sarḳhushī ko kyā kiijeye zindagī hai to phir zindagī ko kyā kiije
jise ishq kā tiir kaarī lageuse zindagī kyuuñ na bhārī lage
na vabāl tan pe hai sar mirā nahīñ jaan jaane kā Dar zarākaTe ġham hii, nikle jo dam mirā mujhe apnī zindagī baar hai
nā-subūrī hai zindagī dil kīaah vo dil ki nā-subūr nahīñ
zindagī meñ to vo mahfil se uThā dete thedekhūñ ab mar ga.e par kaun uThātā hai mujhe
jab naam tirā lījiye tab chashm bhar aaveis zindagī karne ko kahāñ se jigar aave
merī hayāt-e-ishq ko de kar junūn-e-shauqmujh ko tamām hosh banā kar chale ga.e
ham tirī aarzū pe jiite haiñye nahīñ hai to zindagī hī nahīñ
zinda huuñ magar ziist kī lazzat nahīñ baaqīhar-chand ki huuñ hosh meñ hushyār nahīñ huuñ
rañj kyā kyā haiñ ek jaan ke saathzindagī maut hai hayāt nahīñ
laa.ī hubāb tak ko sail-e-fanā bahā karik aah khīñchne ko ik dam kī zindagī meñ
zindagī meñ to na ik dam ḳhush kiyā hañs bol karaaj kyuuñ rote haiñ mere āshnā mere liye
tire karam se ḳhudā.ī meñ yuuñ to kyā na milāmagar jo tū na milā ziist kā mazā na milā
zindagī hai jis kuuñ daa.im ālam-e-bāqī munīñjalva-gar kab us añge yū ālam-e-fānī huā
ishq se paidā navā-e-zindagī meñ zer-o-bamishq se miTTī kī tasvīroñ meñ soz-e-dam-ba-dam
daa.im paḌā huā tire dar par nahīñ huuñ maiñḳhaak aisī zindagī pe ki patthar nahīñ huuñ maiñ
āb-e-hayāt kī sī saarī ravish hai us kīpar jab vo uTh chale hai ek aadh mar rahe hai
agar na zohra-jabīnoñ ke darmiyāñ guzreto phir ye kaise kaTe zindagī kahāñ guzre
kyā milā ham ko zindagī ke sivāvo bhī dushvār nā-tamām ḳharāb