نہ وبال تن پہ ہے سر مرا نہیں جان جانے کا ڈر ذراکٹے غم ہی، نکلے جو دم مرا مجھے اپنی زندگی بار ہےna vabāl tan pe hai sar mirā nahīñ jaan jaane kā Dar zarākaTe ġham hii, nikle jo dam mirā mujhe apnī zindagī baar haiGhamZindagiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
گئی یک بہ یک جو ہوا پلٹ نہیں دل کو میرے قرار ہےکروں اس ستم کو میں کیا بیاں مرا غم سے سینہ فگار ہےga.ī yak-ba-yak jo havā palaT nahīñ dil ko mere qarār haikarūñ us sitam ko maiñ kyā bayāñ mirā ġham se siina figār haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
یہ رعایۂ ہند تبہ ہوئی کہوں کیا جو ان پہ جفا ہوئیجسے دیکھا حاکم وقت نے کہا یہ بھی قابل دار ہےye re.āyā-e-hind tabah huī kahūñ kyā jo in pe jafā huījise dekhā hākim-e-vaqt ne kahā ye bhī qābil-e-dār haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
یہ کسی نے ظلم بھی ہے سنا کہ دی پھانسی لوگوں کو بے گناہوہی کلمہ گویوں کی سمت سے ابھی دل میں ان کے بخار ہےye kisī ne zulm bhī hai sunā ki dī phāñsī logoñ ko be-gunāhvahī kalma-goyoñ kī samt se abhī dil meñ un ke buḳhār haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
نہ تھا شہر دہلی یہ تھا چمن کہو کس طرح کا تھا یاں امنجو خطاب تھا وہ مٹا دیا فقط اب تو اجڑا دیار ہےna thā shahr-e-dehlī ye thā chaman kaho kis tarah kā thā yaañ amanjo ḳhitāb thā vo miTā diyā faqat ab to ujḌā dayār haiبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
تھی سزا اپنی جو شادی مرگ قسمت نے کیاہجر میں کس نے کہا تھا وصل کا غم کیجیےحیدر علی آتشHaidar Ali Atish
دنیائے دل تباہ کئے جا رہا ہوں میںصرف نگاہ و آہ کئے جا رہا ہوں میںduniyā-e-dil tabāh kiye jā rahā huuñ maiñsarf-e-nigāh-o-āh kiye jā rahā huuñ maiñجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
ظفر اپنا کرشمہ گر دکھایا چشم ساقی نےتماشے جام جم کے سب نظر ساغر میں آویں گے'zafar' apnā karishma gar dikhāyā chashm-e-sāqī netamāshe jām-e-jam ke sab nazar sāġhar meñ āveñgeبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar