girya nikāle hai terī bazm se mujh kohaa.e ki rone pe iḳhtiyār nahīñ hai
mere halāk karne kā ġham hai abas tumheñtum shaad zindagānī karo ġham bahut hai yaañ
vo shab-e-dard-o-soz-o-ġham kahte haiñ zindagī jiseus kī sahar hai tū ki maiñ us kī azaañ hai tū ki maiñ
soz-e-ġham dekh na barbād ho hāsil merādil kī tasvīr hai har ā.īna-e-dil merā
na kohkan hai na majnūñ ki the mire hamdardmaiñ apnā dard-e-mohabbat kahūñ to kis se kahūñ
merī āġhosh se kyā hī vo taḌap kar nikleun kā jaanā thā ilāhī ki ye jaanā dil kā
aah jo dil se nikālī jā.egīkyā samajhte ho ki ḳhālī jā.egī
ḳhud jo ġham haiñ to aa.ina hairāñkis ġhazab kā siñghār kar baiThe
sun be-qarār dil kī aval āh-e-shola-ḳheztab is haraf meñ dil ke ma.ānī kuuñ dekh tuuñ
jannat meñ to nahīñ agar ye zaḳhm-e-teġh-e-ishqbadleñge tujh ko zindagī-e-jāvedāñ se ham
ḳhāksārī ne dikhā.īñ rif.atoñ par rif.ateñis zamīñ se vaah kyā kyā āsmāñ paidā hue
de diyā dard mujh ko dil ke evazhaa.e lutf-e-sitam-shi.ār na pūchh
zof se ai girya kuchh baaqī mire tan meñ nahīñrañg ho kar uḌ gayā jo ḳhuuñ ki dāman meñ nahīñ
aah jis vaqt sar uThātī haiarsh par barchhiyāñ chalātī hai
ilāj-e-dard meñ bhī dard kī lazzat pe martā huuñjo the chhāloñ meñ kāñTe nok-e-sozan se nikāle haiñ
mil ga.ī ishq meñ īzā-talabī se rāhatġham hai ab jaan mirī dard hai ab dil merā
rahā hai tū hī to ġham-ḳhvār ai dil-e-ġham-ghīñtire sivā ġham-e-furqat kahūñ to kis se kahūñ
ġham-e-ishq meñ mazā thā jo use samajh ke khāteye vo zahr hai ki āḳhir mai-e-ḳhush-gavār hotā
kyā ġham-e-duniyā kā Dar mujh riñd koaur ik botal chaḌhā lī jā.egī
aate aate lab par āh-e-nā-rasā ulTī phirīvo bhī merā hī dabāne ko galā ulTī phirī
ġhanīm-e-ġham kiyā hai fauj-bandī ishq-bāzāñ parbajā hai aaj vo raaja agar naubat bajā nikle
yūñhī guzre to sahl hai lekinfursat-e-ġham ko bhī sabāt nahīñ
misāl-e-māhī-e-be-āb maujeñ taḌpā kiiñhabāb phuuT ke ro.e jo tum nahā ke chale
kyā kahūñ tārīki-e-zindān-e-ġham andher haipamba nūr-e-sub.h se kam jis ke rauzan meñ nahīñ
chashm-e-bad-dūr-chasm-e-tar ai 'mīr'āñkheñ tūfān ko dikhātī hai
mire ash.ār ai 'iqbāl' kyuuñ pyāre na hoñ mujh komire TuuTe hue dil ke ye dard-añgez naale haiñ
tārīk misl-e-āh jo āñkhoñ kā nuur thākyā sub.h hī se shām-e-balā kā zuhūr thā
raqs-e-bismil kā tamāshā mujhe dikhlā koī damdast o pā maar ke dam tū tah-e-shamshīr na toḌ