ye vo dard-e-dil nahīñ hai ki ho chārasāz koīagar ek baar miTtā to hazār baar hotā
garmi-e-mohabbat meñ vo haiñ aah se māne.apañkhā nafas-e-sard kā jhalne nahīñ dete
girne vaalā hai kisī dushman pe kyā tīr-e-shahābāsmāñ tak jā ke kyuuñ āh-e-rasā ulTī phirī
gul ke charāġh gul ho yak baar jhaḌ paḌeñ sabmujh aah kī hikāyat boleñ agar sabā suuñ
dil ko dard-āshnā kiyā tū nedard-e-dil ko davā kiyā tū ne
ḳhaak se hai ḳhaak ko ulfat taḌaptā huuñ 'anīs'karbalā ke vāste maiñ karbalā mere liye
zaḳhm silvāne se mujh par chārā-juī kā hai taanġhair samjhā hai ki lazzat zaḳhm-e-sozan meñ nahīñ
rashk-e-yūsuf hai aah vaqt-e-azīzumr ik bār-e-kārvānī hai
thī kisī darmāñda rah-rau kī sadā-e-dardnākjis ko āvāz-e-rahīl-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
koī to dardmand-e-dil-e-nā-subūr thāmaanā ki tum na the koī tum sā zarūr thā
kar le ai dil jaan ko bhī ranj-o-ġham meñ tū sharīkye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar baT jā.egī
bahut royā huuñ maiñ jab se ye maiñ ne ḳhvāb dekhā haiki aap aañsū bahāte sāmne dushman ke baiThe haiñ
agar dil vāqif-e-nairañgī-e-tab-e-sanam hotāzamāne kī do-rañgī kā use hargiz na ġham hotā
hai mirā vīrāna-e-ġham 'nazm' aisā haul-nākmauj-e-sail aa.ī to le kar boriyā ulTī phirī
yaañ dard hai param kā behūda sar kahe matye baat sun 'valī' kī jā kar kaho davā suuñ
thā na juz ġham bisāt-e-āshiq meñġham ko rāhat-fazā kiyā tū ne
tap-e-darūñ ġham-e-furqat varam-e-payāda-ravīmaraz to itne haiñ aur kuchh davā nahīñ rakhte
qatra qatra ik hayūlā hai na.e nāsūr kāḳhuuñ bhī zauq-e-dard se fāriġh mire tan meñ nahīñ
girya har vaqt kā nahīñ be-hechdil meñ koī ġham-e-nihānī hai
nā-subūrī hai zindagī dil kīaah vo dil ki nā-subūr nahīñ
palTī jo rāste hī se ai āh-e-nā-murādye to batā ki bāb-e-asar kitnī duur thā
ga.ī yak-ba-yak jo havā palaT nahīñ dil ko mere qarār haikarūñ us sitam ko maiñ kyā bayāñ mirā ġham se siina figār hai
ye josh-e-girya to dekho ki jab furqat meñ royā huuñdar o dīvār ik pal meñ mire madfan ke baiThe haiñ
ye pāband-e-musībat dil ke hāthoñ ham to rahte haiñnahīñ to chain se kaTtī na dil hotā na ġham hotā
ye āh-e-be-asar kyā ho ye naḳhl-e-be-samar kyā hona ho jab dard hī yā-rab to dil kyā ho jigar kyā ho
na thī tāqat mujhe aane kī lekinba-zor-e-āh pahuñchā tujh galī meñ
jab milī kām-e-jāñ ko lazzat-e-darddard ko be-davā kiyā tū ne
ajab nahīñ hai jo shīshoñ meñ bhar ke le jaa.eñin āñsuoñ ko farishte gulāb samjhe haiñ
aah ko chāhiye ik umr asar hote takkaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak
ġham-o-rañj-o-alam niko yaañ sesab tumhārī hī mehrbānī hai
aah ki khoyā gayā tujh se faqīrī kā raazvarna hai māl-e-faqīr saltanat-e-rūm-o-shām