بہت رویا ہوں میں جب سے یہ میں نے خواب دیکھا ہےکہ آپ آنسو بہاتے سامنے دشمن کے بیٹھے ہیںbahut royā huuñ maiñ jab se ye maiñ ne ḳhvāb dekhā haiki aap aañsū bahāte sāmne dushman ke baiThe haiñGhamداغؔ دہلویDagh Dehlvi
بھویں تنتی ہیں خنجر ہاتھ میں ہے تن کے بیٹھے ہیںکسی سے آج بگڑی ہے کہ وہ یوں بن کے بیٹھے ہیںbhaveñ tantī haiñ ḳhanjar haath meñ hai tan ke baiThe haiñkisī se aaj bigḌī hai ki vo yuuñ ban ke baiThe haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
دلوں پر سیکڑوں سکے ترے جوبن کے بیٹھے ہیںکلیجوں پر ہزاروں تیر اس چتون کے بیٹھے ہیںdiloñ par saikḌoñ sikke tire joban ke baiThe haiñkalejoñ par hazāroñ tiir is chitvan ke baiThe haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
الہی کیوں نہیں اٹھتی قیامت ماجرا کیا ہےہمارے سامنے پہلو میں وہ دشمن کے بیٹھے ہیںilāhī kyuuñ nahīñ uThtī qayāmat mājrā kyā haihamāre sāmne pahlū meñ vo dushman ke baiThe haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
یہ گستاخی یہ چھیڑ اچھی نہیں ہے اے دل ناداںابھی پھر روٹھ جائیں گے ابھی تو من کے بیٹھے ہیںye gustāḳhī ye chheḌ achchhī nahīñ hai ai dil-e-nādāñabhī phir ruuTh jā.eñge abhī to man ke baiThe haiñداغؔ دہلویDagh Dehlvi
دل گیا رونق حیات گئیغم گیا ساری کائنات گئیdil gayā raunaq-e-hayāt ga.īġham gayā saarī kā.enāt ga.īجگر مرادآبادیJigar Moradabadi
بن ترے اے بت خود کام یہ دل کو ہے خطرتیرے عاشق کا تمام آہ کہیں کام نہ ہوbin tire ai but-e-ḳhud-kām ye dil ko hai ḳhatartere āshiq kā tamām aah kahīñ kaam na hoبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
جلوہ دکھا رہا ہے وہ آئینۂ جمالآتی ہے ہم کو شرم کہ کیا منہ دکھائیں ہمjalva dikhā rahā hai vo ā.īna-e-jamālaatī hai ham ko sharm ki kyā muñh dikhā.eñ hamداغؔ دہلویDagh Dehlvi
قامت سے تیرے صانع قدرت نے اے حسیںدکھلا دیا ہے حشر کو سانچے میں ڈھال کےqāmat se tere sāne-e-qudrat ne ai hasīñdikhlā diyā hai hashr ko sāñche meñ Dhaal keاکبر الہ آبادیAkbar Allahabadi