jis pe dil aayā hai vo shīrīñ-adā miltā nahīñzindagī hai talḳh jiine kā mazā miltā nahīñ
ham ko jiinā paḌegā furqat meñvo agar himmat āzmāne lage
mahshar kī āfatoñ kā dhaḌkā nahīñ rahā absau hashr maiñ ne dekhe do din kī zindagī meñ
agar ġhurūr hai aadā ko apnī kasrat parto is hayāt ko ham bhī habāb samjhe haiñ
hayāt-e-shauq kī ye garmiyāñ kahāñ hotīñḳhudā kā shukr hameñ nāla-e-rasā na milā
har ik maqām se aage maqām hai terāhayāt zauq-e-safar ke sivā kuchh aur nahīñ
zahr lagtī hai mujhe āb-o-havā-e-zindagīya.anī tujh se thī ise nā-sāzgārī haa.e haa.e
jīte-jī kūcha-e-dildār se jaayā na gayāus kī dīvār kā sar se mire saaya na gayā
usī ko kahte haiñ jannat usī ko dozaḳh bhīvo zindagī jo hasīnoñ ke darmiyāñ guzre
ek sāġhar par hai apnī zindagīrafta rafta is se bhī kam kyā kareñ
pechīda zindagī ke karo tum muqaddamedikhlā hī degī maut natīja nikāl ke
jiite jī maut ke tum muñh meñ na jaanā hargizdosto dil na lagānā na lagānā hargiz
binā rakkhī hai ġham par ziist kī ye ho gayā sābitna lapkā aah kā chhūTegā jab tak saañs chaltī hai
ragoñ meñ gardish-e-ḳhūñ hai agar to kyā hāsilhayāt soz-e-jigar ke sivā kuchh aur nahīñ
dī mire bhaa.ī ko haq ne az-sar-e-nau zindagīmīrzā yūsuf hai 'ġhālib' yūsuf-e-sānī mujhe
majnūñ na dasht meñ hai na farhād koh meñthā jin se lutf-e-zindagī ve yaar mar ga.e
bahut hasīn sahī sohbateñ guloñ kī magarvo zindagī hai jo kāñToñ ke darmiyāñ guzre
maze ishq ke kuchh vahī jānte haiñki jo maut ko zindagī jānte haiñ
ġharīb akbar ke gard kyuuñ meñ ḳhayāl vaa.iz se koī kah deuse Darāte ho maut se kyā vo zindagī hī se Dar chukā hai
siina raushan ho to hai soz-e-suḳhan ain-e-hayātho na raushan to suḳhan marg-e-davām ai saaqī
thā zindagī meñ marg kā khaTkā lagā huāuḌne se pesh-tar bhī mirā rañg zard thā
gar zindagī yahī hai jo karte haiñ ham asiirto ve hī jī ga.e jo giraftār mar ga.e
mohabbat meñ ham to jiye haiñ jiyeñgevo hoñge koī aur mar jaane vaale
ziist se tañg ho ai 'dāġh' to jiite kyuuñ hojaan pyārī bhī nahīñ jaan se jaate bhī nahīñ
jiinā vo kyā jo ho nafas-e-ġhair par madārshohrat kī zindagī kā bharosā bhī chhoḌ de
qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñmaut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ
ghabrā na 'mīr' ishq meñ us sahal-e-zīst parjab bas chalā na kuchh to mire yaar mar ga.e
be-kaif dil hai aur jiye jā rahā huuñ maiñḳhālī hai shīsha aur piye jā rahā huuñ maiñ