kahā jo maiñ ne ki mar jā.ūñgā to kahte haiñhamāre zā.iche meñ zindagī nikaltī hai
sa.ī-e-paiham hai tarāzu-e-kam-o-kaif-e-hayātterī mīzāñ hai shumār-e-sahar-o-shām abhī
mujh se mat kah tū hameñ kahtā thā apnī zindagīzindagī se bhī mirā jī in dinoñ be-zār hai
jiinā mirā to tujh ko ġhanīmat hai nā-samajhkhīñgā kaun phir ye tire naaz mere ba.ad
majbūri-e-kamāl-e-mohabbat to dekhnājiinā nahīñ qubūl jiye jā rahā huuñ maiñ
apne man meñ Duub kar pā jā surāġh-e-zindagītū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban
zindagī meñ bhī rahā zauq-e-fanā kā maarānashsha baḳhshā ġhazab us sāġhar-e-ḳhālī ne mujhe
sham-e-mazār aur ye soz-e-jigar mirāhar shab kareñge zindagī nā-sāz mere ba.ad
ruḳhsat huī shabāb ke hamrāh zindagīkahne kī baat hai ki jiye jā rahā huuñ maiñ
tahī zindagī se nahīñ ye fazā.eñyahāñ saikḌoñ kārvāñ aur bhī haiñ
mat pūchh 'asad' va.ada-e-kam-fursatī-e-zīstdo din bhī jo kaaTe tū qayāmat ta.aboñ se
pahle sharāb ziist thī ab ziist hai sharābkoī pilā rahā hai piye jā rahā huuñ maiñ
isī kashmakash meñ guzrīñ mirī zindagī kī rāteñkabhī soz-o-sāz-e-'rūmī' kabhī pech-o-tāb-e-'rāzī'
mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kāusī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle
dil gayā raunaq-e-hayāt ga.īġham gayā saarī kā.enāt ga.ī
hayāt kyā hai ḳhayāl o nazar kī majzūbīḳhudī kī maut hai andesha-hā-e-gūnā-gūñ
thī nigah merī nihāñ-ḳhāna-e-dil kī naqqābbe-ḳhatar jiite haiñ arbāb-e-riyā mere ba.ad
qaid-e-hastī se kab najāt 'jigar'maut aa.ī agar hayāt ga.ī
tirī zindagī isī se tirī aabrū isī sejo rahī ḳhudī to shāhī na rahī to rū-siyāhī
kahte haiñ jiite haiñ ummed pe logham ko jiine kī bhī ummed nahīñ
ahbāb mujh se qat-e-ta.alluq kareñ 'jigar'ab āftāb-e-zīst lab-e-bām aa gayā
nahīñ hai ġhair az numūd kuchh bhī jo mudda.ā terī zindagī kātū ik nafas meñ jahāñ se miTnā tujhe misāl sharār hogā