yuuñ zindagī guzār rahā huuñ tire baġhairjaise koī gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
Kya Ishq Aik Zindagi-e-Mastaar KaKya Ishq Paidar Se Na-Paidar Ka
ishq se tabī.at ne ziist kā mazā paayādard kī davā paa.ī dard-e-be-davā paayā
ishq-e-lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñzindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
Kar Pehle Mujh Ko Zindagi Javidan AttaPhir Zauq-o-Shauq Dekh Dil-e-Beqarar Ka
zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsamaut se bhī ḳhatm jis kā silsila hotā nahīñ
Issi Kashmakash Mein Guzreen Meri Zindagi Ki RaatainKabhi Souz-o-Saaz-e-Rumi, Kabhi Paich-o-Taab-e-Razi
nādāñ ho jo kahte ho ki kyuuñ jiite haiñ 'ġhālib'qismat meñ hai marne kī tamannā koī din aur
ai sahāroñ kī zindagī vaalokitne insān be-sahāre haiñ
Woh Shab-e-Dard-o-Souz-o-Gham, Kehte Hain Zindagi JiseUss Ki Sahar Hai Tu Ke Main, Uss Ki Azaan Hai Tu Ke Main
aa hī jaatā vo raah par 'ġhālib'koī din aur bhī jiye hote
vo hamīñ haiñ ki jin ke hāthoñ negesū-e-zindagī sañvāre haiñ
Ishq Se Paida Nawa’ay Zindagi Mein Zeer-O-BammIshq Se Mitti Ki Tasweer Mein Soz-E-Dam Ba Dam
ba-saḳhtī-hā-e-qaid-e-zindagī mālūm āzādīsharar bhī said-e-dām-e-rishta-e-rag-hā-e-ḳhārā hai
ye umr-e-ishq yūñhī kyā gañvā.ī jaatī haihayāt zinda haqīqat banā.ī jaatī hai
Tere Muheet Mein Kahin Gohar-e-Zindagi NahinDhoond Chuka Main Mouj Mouj, Dekh Chuka Sadaf Sadaf
dahan-e-sher meñ jā baiThe lekin ai dilna khaḌe ho jiye ḳhūbān-e-dil-āzār ke paas
ḳhudā kare ki haqīqat meñ zindagī ban jaa.evo zindagī jo zabāñ tak hī paa.ī jaatī hai
Khol Ke Kya Bayan Karun Sirr-e-Maqam-e-Marg-o-IshqIshq Hai Marg-e-Ba-Sharaf, Marg Hayat-e-Be-Sharaf
phir usī bevafā pe marte haiñphir vahī zindagī hamārī hai
vahī hai zindagī lekin 'jigar' ye haal hai apnāki jaise zindagī se zindagī kam hotī jaatī hai
Utha Main Madrasa-o-Khanqah Se GhamnaakNa Zindagi, Na Mohabbat, Na Maarifat, Na Nigah!
zindagī yuuñ bhī guzar hī jaatīkyuuñ tirā rāhguzar yaad aayā
tirī ḳhushī se agar ġham meñ bhī ḳhushī na huīvo zindagī to mohabbat kī zindagī na huī
Ye Hai Khulasa-E-Ilm Qalandari Ke HiyatKhadang-E-Jasta Hai Lekin Kaman Se Door Nahin
ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotāagar aur jiite rahte yahī intizār hotā
isī ummīd par ham tālibān-e-dard jiite haiñḳhoshā dard de ki terā aur dard-e-lā-davā hogā
Na Ho Tughyan-e-Mushtaqi To Main Rehta Nahin BaqiKe Meri Zindagi Kya Hai, Yehi Tughyan-e-Mushtaqi
tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanāki ḳhushī se mar na jaate agar e'tibār hotā