har nafas mauj-e-iztirāb huāzindagī kyā huī azaab huā
Mai-e-Yaqeen Se Zameer-e-Hayat Hai PursouzNaseeb-e-Madrasa Ya Rab Ye Aab-e-Atish Naak
zindagī apnī jab is shakl se guzrī 'ġhālib'ham bhī kyā yaad kareñge ki ḳhudā rakhte the
mirī zindagī to guzrī tire hijr ke sahāremirī maut ko bhī pyāre koī chāhiye bahāna
Tu Zindagi Hai, Paendagi HaiBaqi Hai Jo Kuch, Sub Khaak Bazi
tirī duurī o huzūrī kā ye hai ajiib aalamabhī zindagī haqīqat abhī zindagī fasāna
Tujh Se Meri Zindagi Souz-o-Tab-o-Dard-o-DaghTu Hi Meri Arzoo, Tu Hi Meri Justujoo
vo jo rūTheñ yuuñ manānā chāhiyezindagī se ruuTh jaanā chāhiye
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Naqsh Gar-E-HadsaatSilsalah-E-Roz-O-Shab, Asal-E-Hayat-O-Mamaat
zindagī hai naam johd o jañg kāmaut kyā hai bhuul jaanā chāhiye
Mard-E-Khuda Ka Amal Ishq Se Sahib FiroghIshq Hai Asal-E-Hayat, Mout Hai Iss Par Haraam
hai inhīñ dhokoñ se dil kī zindagījo hasīñ dhokā ho khānā chāhiye
Ishq Ke Mizraab Se Naghma’ay Taar-E-HayatIshq Se Noor-E-Hayat, Ishq Se Naar-E-Hayat
ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-dīvār ho jaa.ejise jiinā ho marne ke liye tayyār ho jaa.e
Talab Jis Ki Sadiyon Se Thi Zindagi KoWoh Souz Iss Ne Paya Inhi Ke Jigar Mein
yahī hai zindagī to zindagī se ḳhud-kushī achchhīki insāñ ālam-e-insāniyat par baar ho jaa.e
Johar-e-Zindagi Hai Ishq, Johar-e-Ishq Hai KhudiAah Ke Hai Ye Taegh-e-Taiz Pardagi-e-Nayam Abhi !
Qalb-o-Nazar Ki Zindagi Dast Mein Subah Ka SamanChasma'ay Aftab Se Noor Ki Nadiyan Rawan
Kis Se Kahon Ke Zehar Hai Mere Liye May'ay HiyatKuhna HAi Bazm-e-Kainat, Taza Hain Mere Wardaat
Kiya Nahin Aur Ghaznavi Kargah-e-Hiyat MeinBaithe Hain Kab Se Muntazir Ahl-e-Harm Ke Soumanaat