Zara Dekh Ae Saqi-E-Lalah Faam!Sunati Hai Ye Zindagi Ka Payam
Woh Mai Jis Se Roshan Zameer-E-HayatWoh Mai Jis Se Hai Masti-E-Kainat
Teri Nawa Se Hai Be-Parda Zindagi Ka ZameerKe Tere Saaz Ki Fitrat Ne Ki Hai Mizrabi
Khulta Nahin Mere Safar-e-Zindagi Ka RaazLaun Kahan Se Banda-e-Sahib Nazar Ko Main
Nudrat-e-Fikar-o-Amal Se Maujazat-e-ZindagiNudrat-e-Fikar-o-Amal Se Sang-e-Khar-Ul-Amal Naab
Bata Kya Teri Zindagi Ka Hai RaazHazaron Baras Se Hai Tu Khakbaz
Zameen Mein Hai Go Khakiyon Ke BaratNahin Iss Andhere Mein Aab-e-Hayat
Taqaza Zindagi Ka Kya Yehi HaiKe Turani Ho Turani Se Mehjoor?
Hamam-o-Kabootar Ka Bhooka Nahin MainKe Hai Zindagi Baaz Ki Zahidana
Khabar, Aqal-o-Kirad Ki NatawaniNazar, Dil Ki Hayat Javedani
Bang-e-Israfeel Un Ko Zinda Kar Sakti NahinRooh Se Tha Zindagi Mein Bhi Tehi Jin Ka Jasad
Ah Ye Marg-E-Dawam, Ah Ye Razm-E-HayatKhatam Bhi Ho Gi Kabhi Kashmakash-E-Kainat !
Khiyal-E-Jadah-O-Manzil Fasana-O-AfsounKe Zindagi Hai Sarapa Raheel-E-Be-Maqsood