Khare Hain Door Woh Azmat Fazaye TanhaiManar-e-Khawabgah-e-Shahsawar-e-Chughtai
Rulati Hai Mujhe Raton Ko Khamoshi Sitaron KiNirala Ishq Hai Mera, Nirale Mere Nale Hain
Jaras Hun, Nala Khawabida Hai Mere Har Rag-o-Pe MeinYe Khamoshi Meri Waqt-e-Raheel-e-Karwan Tak Hai
Az Nafas Dar Seena-e-Khoon Gashta Nashtar DashtamZair-e-Khamoshi Nahan Ghoghaye Mehshar Dashtam
Hai Ajab Majmooa-e-Azdad Ae Iqbal ToRonaq-e-Hangama Mehfil Bhi Hai, Tanha Bhi Hai
Zindagaani Hai Meri Misl-e-Rubab-e-KhamoshJis Ki Har Rang Ke Naghmon Se Hai Labraiz Aghosh
Khamosh Hai Chandani Qamar KiShakhain Hain Khamosh Har Shajar Ki
Wadi Ke Nawa Farosh KhamoshKuhsar Ke Sabz Posh Khamosh
Khamosh Hain Koh-o-Dasht-o-DaryaQudrat Hai Muraqbe Mein Goya
Tanhai-e-Shab Mein Hai Hazeen KyaAnjum Nahin Tere Hum-Nasheen Kya?
Ye Riffat-e-Asman-e-KhamoshKhawabidah Zameen, Jahan-e-Khamosh
Ye Kaifiat Hai Meri Jaan-e-Na-Shakiba KiMeri Misal Hai Tifl-e-Sagheer-e-Tanha Ki
Ghulghulon Se Jis Ke Lazzat-Geer Ab Tak Gosh HaiKya Woh Takbeer Ab Hamasha Ke Liye Khamosh Hai?
Sadaye Lan Tarani Sun Ke Ae Iqbal Mein Chup HunTaqazon Ki Kahan Taqat Hai Mujh Furqat Ke Mare Main
Chandni Pheeki Hai Iss Nazara-e-Khamosh MeinSubah-e-Sadiq So Rahi Hai Raat Ki Aghosh Mein
Batin-e-Har Zarra-e-Alam Sarapa Dard HaiAur Khamoshi Lab-e-Hasti Pe Aah-e-Sard Hai
Sote Hain Khamosh, Abadi Ke Hangamon Se DoorMuztarib Rakhti Thi Jin Ko Arzu-e-Na-Saboor
Gham Nahin Gham, Rooh Ka Ek Naghma-e-Khamosh HaiJo Surood-e-Barbat-e-Hasti Se Hum Aghosh Hai
Khizr-e-Himmat Ho Gya Ho Arzoo Se Gosha-GeerFikr Jab Aajiz Ho Aur Khamosh Awaz-e-Zameer
Khauf Kehta Hai Ke Yasrab Ki Taraf Tanha Na ChalShauq Kehta Hai Tu Muslim Hai, Bebakana Chal