Ghota Zan Daryae Khamoshi Mein Hai Mouj-e-HawaHaan, Magar Ek Door Se Ati Hai Awaz E Dra
Manzar-e-Herman Naseebi Ka Tamashayi Hun MainHum Nasheen-e-Khuftagan-e-Kunj Tanhai Hun Main
Husn Ka Janj-e-Giran Maya Tujhe Mil JataTu Ne Farhad! Na Khoda Kabhi Weera-e-Dil
Rukhsat Ae Bazm-e-Jahan! Sooye Watan Jata Hun MainAh! Iss Abad Weerane Mein Ghabrata Hun Main
Bazm-e-Hasti Mein Hai Sub Ko Mehfil Arayi PasandHai Dil-e-Shayar Ko Lekin Kunj Tanhai Pasand
Ye Khamoshi Kahan Tak? Lazzat-e-Faryad Paida KarZameen Par Tu Ho Aur Teri Sada Ho Asmanon Mein
Mere Weerane Se Kouson Door Hai Tera WatanHai Magar Darya’ay Dil Teri Kashish Se Moujzan
Main Rah-e-Manzil Mein Hun, Tu Bhi Rah-e-Manzil Mein HaiTeri Mehfil Mein Jo Khamoshi Hai, Mere Dil Mein Hai
Anjuman Hai Aik Meri Bhi Jahan Rehta Hun MainBazm Mein Apni Agar Yakta Hai Tu, Tanha Hun Main
Ye Ikhtilaf Phir Kyun Hangamon Ka Mehal HoHar Shay Mein Jabke Pinhan Khamoshi-e-Azal Ho
Yaas-o-Umeed Ka Nazara Jo Dikhati HoJis Ki Khamoshi Se Taqreer Bhi Sharmati Ho
Chal Basa Dagh! Aah! Mayyat Iss Ki Zaib-e-Dosh HaiAkhri Shayar Jahan Abad Ka Khamosh Hai
Husn, Kohistan Ki Haibatnaak Khamoshi Mein HaiMehr Ki Zou Gastri, Shab Ji Siyah Poshi Mein Hai
Chashma-e-Kuhsar Mein, Darya Ki Azadi Mein HusnShehr Mein, Sehra Mein, Weerane Mein, Abadi Mein Husn