بلبل کو باغباں سے نہ صیاد سے گلہقسمت میں قید لکھی تھی فصل بہار میںbulbul ko bāġhbāñ se na sayyād se gilaqismat meñ qaid likkhī thī fasl-e-bahār meñBaharShikwaبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
لگتا نہیں ہے دل مرا اجڑے دیار میںکس کی بنی ہے عالم ناپائیدار میںlagtā nahīñ hai dil mirā ujḌe dayār meñkis kī banī hai ālam-e-nā-pā.edār meñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
ان حسرتوں سے کہہ دو کہیں اور جا بسیںاتنی جگہ کہاں ہے دل داغدار میںin hasratoñ se kah do kahīñ aur jā baseñitnī jagah kahāñ hai dil-e-dāġh-dār meñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کانٹوں کو مت نکال چمن سے او باغباںیہ بھی گلوں کے ساتھ پلے ہیں بہار میںkāñToñ ko mat nikāl chaman se o bāġhbāñye bhī guloñ ke saath pale haiñ bahār meñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar
کتنا ہے بد نصیب ظفر دفن کے لیےدو گز زمین بھی نہ ملی کوئے یار میںkitnā hai bad-nasīb 'zafar' dafn ke liyedo gaz zamīn bhī na milī kū-e-yār meñبہادر شاہ ظفرBahadur Shah Zafar